tere kahne se main az-bas-ki bahar ho nahin sakta
tire kahne se maiñ az-bas-ki bāhar ho nahīñ saktā
irāda sabr kā karatā to huuñ par ho nahīñ saktā
kahā jab maiñ terā bosa to jaise qand hai pyāre
lagā tab kahne par qand-e-mukarrar ho nahīñ saktā
dil-e-āvāra uljhe yā kasū kī zulf se yā-rab
ilaaj āvārgī kā is se behtar ho nahīñ saktā
mirī be-sabriyoñ kī baat meñ sab se vo kahtā hai
tahammul mujh se bhī to haal sun kar ho nahīñ saktā
kare kyā fā.eda nāchīz ko taqlīd achchhoñ kī
ki jam jaane se kuchh olā to gauhar ho nahīñ saktā
nahīñ chaltā hai kuchh apnā to tere ishq ke aage
hamāre dil pe koī aur to dar ho nahīñ saktā
kahā maiñ yuuñ to mil jaate ho aakar ba.ad muddat ke
agar chāho to ye kyā tum se aksar ho nahīñ saktā
lagā kahne samajh is baat ko Tuk tū ki jald itnā
tire ghar aane jaane meñ mirā ghar ho nahīñ saktā
bachūñ kis tarah maiñ ai dard us kī teġh-e-abrū se
ki jis ke sāmne aa.e koī jāñ-bar ho nahīñ saktā
tere kahne se main az-bas-ki bahar ho nahin sakta
irada sabr ka karata to hun par ho nahin sakta
kaha jab main tera bosa to jaise qand hai pyare
laga tab kahne par qand-e-mukarrar ho nahin sakta
dil-e-awara uljhe ya kasu ki zulf se ya-rab
ilaj aawargi ka is se behtar ho nahin sakta
meri be-sabriyon ki baat mein sab se wo kahta hai
tahammul mujh se bhi to haal sun kar ho nahin sakta
kare kya faeda nachiz ko taqlid achchhon ki
ki jam jaane se kuchh ola to gauhar ho nahin sakta
nahin chalta hai kuchh apna to tere ishq ke aage
hamare dil pe koi aur to dar ho nahin sakta
kaha main yun to mil jate ho aakar baad muddat ke
agar chaho to ye kya tum se aksar ho nahin sakta
laga kahne samajh is baat ko Tuk tu ki jald itna
tere ghar aane jaane mein mera ghar ho nahin sakta
bachun kis tarah main ai dard us ki tegh-e-abru se
ki jis ke samne aae koi jaan-bar ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.