main DhunDun kahan tujhko ai yar-e-jaani mere nafs-o-qalib mein aur jaan mein tu hai
maiñ DhūñDūñ kahāñ tujh ko ai yār-e-jānī mere nafs-o-qālib meñ aur jaañ meñ tū hai
nahīñ aatā kyuuñ merī āñkhoñ ke aage mere chaar 'unsur ke arakāñ meñ tū hai
kHatt-o-kHāl-o-husn-o-jamāl-o-adā.en karishma hai tū aur andāz hai tū
firāq-o-ġham-o-ranj-e-hirmāñ meñ tū hai tū jalva-gar-e-zulf-e-pechāñ meñ tū hai
tajallī-o-anvār-e-asrār-e-pinhāñ tire husn-e-jāñ-soz kā sho'bada hai
tu ḳhud 'ishq-o-mā'shūq ho kar ke apnā numāyāñ merī chashm-e-hairāñ meñ tū hai
jahāñ maiñ ne DhūñDā vahīñ tujh ko paayā tirā jalva āñkhoñ meñ merī samāyā
kHas-o-ḳhār-o-ashjār-o-gulzār-o-bulbul ḳhizāñ meñ bahār-e-gulistāñ meñ tū hai
ḳhud apnā to lailā banā ḳhud hī shīrīñ to ḳhud apnā ḳhusrav hai bā-jāh-o-tamkīñ
tu hai aabla pā-e-majnūñ ḳhud apnā jo dekhā to ḳhud hī bayābān meñ tū hai
azal tū abad tū yahāñ tū vahāñ tū makīñ tū makāñ tū zamīñ tū zamāñ tū
'ayāñ tū nihāñ tū zabāñ tū bayāñ tū mere lab pe aur chashm-e-giryāñ meñ tū hai
falak meñ malak meñ qamar meñ guhar meñ hajar meñ shajar meñ nazar meñ basar meñ
buhūr-o-jibāl-o-yam-o-abar-e-nīsāñ dur-o-lā'l-o-quvvat-e-marjān meñ tū hai
kahāñ huuñ kidhar huuñ maiñ huuñ kaun kyā thā aur ab huuñ to kyā huuñ kahāñ huuñ batāo
jo kuchh hai tū to hai mere rū-ba-rū hai merī jaañ aur dil ke aivān meñ tū hai
nazar meñ guzar meñ jigar meñ sharar meñ shajar meñ asar meñ bashar meñ samar meñ
agar meñ magar meñ safar meñ hazar meñ tū hai aur nahīñ phir har ik shaan meñ tū hai
mere yaar ġham-ḳhvār dildār jaanī nahīñ terā donoñ jahāñ meñ hai saanī
sune dard kī kaun mere kahānī ġham-o-ġhussa-o-ranj-o-pinhāñ meñ tū hai
'ḳhalīl'-e-jigar-ḳhasta afgār nā-chār har baar kah tū mohammad mohammad
nikal hind se chal madīna ko ab tū yahāñ kyuuñ paḌā dār-e-'isyāñ meñ tū hai
main DhunDun kahan tujh ko ai yar-e-jaani mere nafs-o-qalib mein aur jaan mein tu hai
nahin aata kyun meri aankhon ke aage mere chaar 'unsur ke arakan mein tu hai
kHatt-o-kHal-o-husn-o-jamal-o-adaen karishma hai tu aur andaz hai tu
firaq-o-gham-o-ranj-e-hirman mein tu hai tu jalwa-gar-e-zulf-e-pechan mein tu hai
tajalli-o-anwar-e-asrar-e-pinhan tere husn-e-jaan-soz ka sho'bada hai
tu KHud 'ishq-o-ma'shuq ho kar ke apna numayan meri chashm-e-hairan mein tu hai
jahan main ne DhunDa wahin tujh ko paya tera jalwa aankhon mein meri samaya
kHas-o-KHar-o-ashjar-o-gulzar-o-bulbul KHizan mein bahaar-e-gulistan mein tu hai
KHud apna to laila bana KHud hi shirin to KHud apna KHusraw hai ba-jah-o-tamkin
tu hai aabla pa-e-majnun KHud apna jo dekha to KHud hi bayaban mein tu hai
azal tu abad tu yahan tu wahan tu makin tu makan tu zamin tu zaman tu
'ayan tu nihan tu zaban tu bayan tu mere lab pe aur chashm-e-giryan mein tu hai
falak mein malak mein qamar mein guhar mein hajar mein shajar mein nazar mein basar mein
buhur-o-jibaal-o-yam-o-abar-e-nisan dur-o-la'l-o-quwwat-e-marjaan mein tu hai
kahan hun kidhar hun main hun kaun kya tha aur ab hun to kya hun kahan hun batao
jo kuchh hai tu to hai mere ru-ba-ru hai meri jaan aur dil ke aiwan mein tu hai
nazar mein guzar mein jigar mein sharar mein shajar mein asar mein bashar mein samar mein
agar mein magar mein safar mein hazar mein tu hai aur nahin phir har ek shan mein tu hai
mere yar gham-KHwar dildar jaani nahin tera donon jahan mein hai sani
sune dard ki kaun mere kahani gham-o-ghussa-o-ranj-o-pinhan mein tu hai
'KHalil'-e-jigar-KHasta afgar na-chaar har bar kah tu mohammad mohammad
nikal hind se chal madina ko ab tu yahan kyun paDa dar-e-'isyan mein tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.