KHuda ban kar KHudai ko bhi wo barbaad karte hain
ḳhudā ban kar ḳhudā.ī ko bhī vo barbād karte haiñ
sitam ījād haiñ ye but sitam ījād karte haiñ
tumhāre chāhne vaale shab-e-ġham yaad karte haiñ
kabhī sheva kabhī naale kabhī fariyād karte haiñ
ḳhayāl-e-ġhair meñ jaane kā shikva kyuuñ na ho mujh ko
mire dil meñ jo rahte haiñ mujhe barbād karte haiñ
mirī nazroñ meñ phirte haiñ mire dil meñ samāte haiñ
mujhe ābād karte haiñ mujhe barbād karte haiñ
dhḌaknā dil kā tahrīk-e-fuġhāñ se zabt meñ mujh ko
samajhtā huuñ ki hazrat phir vahī irshād karte haiñ
tajāhul ho ki shoḳhī ho taġhāful ho nahīñ saktā
mujhī ko pūchhte haiñ vo mujhī ko yaad karte haiñ
janāb-e-'ishq ḳhud to ḳhāna-barbād ke bā'is haiñ
'atā mujh ko ḳhitāb-e-kHānmā barbād karte haiñ
mirī turbat aur dāman bachā.e naaz se chalnā
mujhe vo ḳhaak samjhe jo yuuñ barbād karte haiñ
sitāre jhilmilā jā.eñge muñh-faq chāñd sā hogā
'qamar' nā-haq 'ayāñ daaġh nā-shād karte haiñ
KHuda ban kar KHudai ko bhi wo barbaad karte hain
sitam ijad hain ye but sitam ijad karte hain
tumhaare chahne wale shab-e-gham yaad karte hain
kabhi shewa kabhi nale kabhi fariyaad karte hain
KHayal-e-ghair mein jaane ka shikwa kyun na ho mujh ko
mere dil mein jo rahte hain mujhe barbaad karte hain
meri nazron mein phirte hain mere dil mein samate hain
mujhe aabaad karte hain mujhe barbaad karte hain
dhDakna dil ka tahrik-e-fughan se zabt mein mujh ko
samajhta hun ki hazrat phir wahi irshad karte hain
tajahul ho ki shoKHi ho taghaful ho nahin sakta
mujhi ko puchhte hain wo mujhi ko yaad karte hain
janab-e-'ishq KHud to KHana-barbaad ke ba'is hain
'ata mujh ko KHitab-e-kHanma barbaad karte hain
meri turbat aur daman bachae naz se chalna
mujhe wo KHak samjhe jo yun barbaad karte hain
sitare jhilmila jaenge munh-faq chand sa hoga
'qamar' na-haq 'ayan dagh na-shad karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.