hum qad-e-yar ko sarw-e-chamani kahte hain
ham qad-e-yār ko sarv-e-chamanī kahte haiñ
zulf-e-dil-dār ko mushk-e-khutanī kahte haiñ
vasf un ke durr-e-dandāñ kā karūñ kyā tahrīr
jo mubassir haiñ vo hiire kī kanī kahte haiñ
nok-e-mizhgāñ kī dikhā kar vo sitam-gar bolā
nezā-bāzo ise barchhī kī anī kahte haiñ
rag-e-gul kartī hai us jism pe kār-e-nashtar
dekh ai dil use nāzuk-badanī kahte haiñ
bātoñ bātoñ meñ liyā chhīn hamāre dil ko
inhīñ chāloñ ko to sab rāh-zanī kahte haiñ
maut bhī aa.e to kūche meñ unhīñ ke aa.e
do-jahāñ meñ jinheñ makkī madnī kahte haiñ
hum qad-e-yar ko sarw-e-chamani kahte hain
zulf-e-dil-dar ko mushk-e-khutani kahte hain
wasf un ke durr-e-dandan ka karun kya tahrir
jo mubassir hain wo hire ki kani kahte hain
nok-e-mizhgan ki dikha kar wo sitam-gar bola
neza-bazo ise barchhi ki ani kahte hain
rag-e-gul karti hai us jism pe kar-e-nashtar
dekh ai dil use nazuk-badani kahte hain
baaton baaton mein liya chhin hamare dil ko
inhin chaalon ko to sab rah-zani kahte hain
maut bhi aae to kuche mein unhin ke aae
do-jahan mein jinhen makki madni kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.