naqab ruKH se uTha lo ki id aai hai
naqāb ruḳh se uThā lo ki 'iid aa.ī hai
hameñ gale se lagā lo ki 'iid aa.ī hai
nazar nazar se milā lo ki 'iid aa.ī hai
usī kā jashn manā lo ki 'iid aa.ī hai
hamārī baat na Taalo ki 'iid aa.ī hai
hameñ gale se lagā lo ki 'iid aa.ī hai
ḳhushī meñ 'iid ki itnā karam to farmāo
gale se chāhne vāloñ ke aake lag jaao
'iid milne ke bahāne to paas aa jaao
sahārā pyaar kā de do hameñ na taḌpāo
ham 'āshiqoñ kī du'ā lo ki 'iid aa.ī hai
kabhī to baat karo sāmne aa kar dilbar
hameñ dikhā do chehra-e-anvar dilbar
'iid ke roz ko milnā bhī hai behtar
bhulā ke saare gile aaj to ham par dilbar
nigāh lutf kī Daalo ki 'iid aa.ī hai
'iid kā din to baḌā lā-javāb hotā hai
surūr dil ko 'ajab dastiyāb hotā hai
har ek chehra shagufta gulāb hotā hai
'iid milne se to hāsil savāb hotā hai
savāb tum bhī kamā lo ki 'iid aa.ī hai
ḳhushī se log hue jā rahe haiñ dīvāne
bhulā diye haiñ 'adāvat ke saare afsāne
kHulūs-o-pyār ke chhalke hue haiñ paimāne
ḳhudā-rā chhoḌ do hārūn har sitam Dhāne
qarīb apne bulā lo ki 'iid aa.ī hai
vo dil hī kyā tere milne kī jo du'ā na kare
maiñ tujh ko bhuul ke zinda rahūñ ḳhudā na kare
hameñ gale se lagā lo ki 'iid aa.ī hai
naqab ruKH se uTha lo ki 'id aai hai
hamein gale se laga lo ki 'id aai hai
nazar nazar se mila lo ki 'id aai hai
usi ka jashn mana lo ki 'id aai hai
hamari baat na Talo ki 'id aai hai
hamein gale se laga lo ki 'id aai hai
KHushi mein 'id ki itna karam to farmao
gale se chahne walon ke aake lag jao
'id milne ke bahane to pas aa jao
sahaara pyar ka de do hamein na taDpao
hum 'ashiqon ki du'a lo ki 'id aai hai
kabhi to baat karo samne aa kar dilbar
hamein dikha do chehra-e-anwar dilbar
'id ke roz ko milna bhi hai behtar
bhula ke sare gile aaj to hum par dilbar
nigah lutf ki Dalo ki 'id aai hai
'id ka din to baDa la-jawab hota hai
surur dil ko 'ajab dastiyab hota hai
har ek chehra shagufta gulab hota hai
'id milne se to hasil sawab hota hai
sawab tum bhi kama lo ki 'id aai hai
KHushi se log hue ja rahe hain diwane
bhula diye hain 'adawat ke sare afsane
kHulus-o-pyar ke chhalke hue hain paimane
KHuda-ra chhoD do haarun har sitam Dhane
qarib apne bula lo ki 'id aai hai
wo dil hi kya tere milne ki jo du'a na kare
main tujh ko bhul ke zinda rahun KHuda na kare
hamein gale se laga lo ki 'id aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.