pahlu-e-dushman mein wo gul-ru idhar masrur hai
Interesting Fact
دہلی کی مشہور گائیکہ ممتاز جان نے اس غزل پر اپنی آواز دی ہے جس کی خبر ’’ارمانِ وصل‘‘ نامی گلدستہ سے ملتی ہے۔
pahlū-e-dushman meñ vo gul-rū idhar masrūr hai
hijr meñ apnā dil-e-muztar udhar ranjūr hai
jalva-farmā aaj koThe par vo rashk-e-hūr hai
tālib dīdār kahte haiñ ki sham.a tuur hai
merā saanī bhī vafādāroñ meñ milnā hai muhāl
be-vafāoñ meñ jo vo yaktā but-e-maġhrūr hai
kis tarh tārīki-e-marqad kā mujh ko ḳhauf ho
daaġh jo siina meñ hai vo rashk-e-charāġh-e-tūr hai
kaun hai mulk-e-suḳhan meñ us se jo vāqif nahīñ
shā’iroñ meñ nāzim-e-shīrīñ-bayāñ mash.hūr hai
pahlu-e-dushman mein wo gul-ru idhar masrur hai
hijr mein apna dil-e-muztar udhar ranjur hai
jalwa-farma aaj koThe par wo rashk-e-hur hai
talib didar kahte hain ki shama tur hai
mera sani bhi wafadaron mein milna hai muhaal
be-wafaon mein jo wo yakta but-e-maghrur hai
kis tarh tariki-e-marqad ka mujh ko KHauf ho
dagh jo sina mein hai wo rashk-e-charagh-e-tur hai
kaun hai mulk-e-suKHan mein us se jo waqif nahin
sha’iron mein nazim-e-shirin-bayan mashhur hai
- Book : Arman-e-Wasl (Pg. 3)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.