yar aghyar mein nazar aaya
yaar aġhyār meñ nazar aayā
gul hameñ ḳhaar meñ nazar aayā
jis ko vaa.iz chhupā.e phirte the
mujh ko bāzār meñ nazar aayā
ġhaur jab maiñ ne kī to ik rishta
sub.ha-o-zunnār meñ nazar aayā
be-takalluf jo chaḌh gayā mansūr
kyā use daar meñ nazar aayā
jaan dī bulbuloñ ne jab gul par
tab vo gulzār meñ nazar aayā
pā-barahna jo ho ga.e muusā
kyā unheñ naar meñ nazar aayā
DhūñDhā jis ko jahāñ meñ vo na milā
vo dil-e-zār meñ nazar aayā
us safā.ī pe jaan dete haiñ
muñh jo talvār meñ nazar aayā
jalva-e-haq ġhulām ko 'ulvī'
apne sardār meñ nazar aayā
yar aghyar mein nazar aaya
gul hamein KHar mein nazar aaya
jis ko waiz chhupae phirte the
mujh ko bazar mein nazar aaya
ghaur jab main ne ki to ek rishta
subha-o-zunnar mein nazar aaya
be-takalluf jo chaDh gaya mansur
kya use dar mein nazar aaya
jaan di bulbulon ne jab gul par
tab wo gulzar mein nazar aaya
pa-barahna jo ho gae musa
kya unhen nar mein nazar aaya
DhunDha jis ko jahan mein wo na mila
wo dil-e-zar mein nazar aaya
us safai pe jaan dete hain
munh jo talwar mein nazar aaya
jalwa-e-haq ghulam ko 'ulwi'
apne sardar mein nazar aaya
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 322)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.