ye bazm mein jam-e-mai-o-saqi se waiza tujhko zid abas hai
ye bazm mein jam-e-mai-o-saqi se waiza tujhko zid abas hai
Imdad Ali Ulvi
MORE BYImdad Ali Ulvi
ye bazm meñ jām-e-mai-o-sāqī se vā'izā tujh ko zid 'abas hai
kabhī tū kar un meñ ho ke shāmil charāġh raushan murād hāsil
ba-īñ tajallī-o-sāda-rūī tū husn meñ garche be-misl hai
magar ho 'āriz pe tere ik til charāġh raushan murād hāsil
farāġh-e-dil se ḳhushī manāo lo ab to ghī ke diye jalāo
ki aa.ī 'āshiq kī chhātī pe sal charāġh raushan murād hāsil
jo kījiye saiqal-e-tabī'at nikaltā hai joauhar-e-haqīqat
ki 'shams' se jab ki uTh gayā zil charāġh raushan murād hāsil
jamāl-e-tanzīh bahr-e-zātī hai vaañ na ġhā.eb hai na shahādat
jalāl-e-tashbīh mauj-e-sāhil charāġh raushan murād hāsil
amānat-e-husn-o-'ishq hargiz uThe na arz-o-samā se lekin
huā bashar jab ki us kā hāmil charāġh raushan murād hāsil
bar aa.ī kHuub ārzū-e-gul-gīr niklī parvāna kī tamannā
muue ye hote haiñ pesh-e-mahfil charāġh raushan murād hāsil
tajallī-e-nayyar-e-haqīqī se jab ki chamke zamīñ ke zarre
zuhūr-e-haq ho ke phir tū kāmil charāġh raushan murād hāsil
jalā.e lam'āt-e-barq-e-vahdat ne kHāshāk-e-hāye kasrat
tajallī-e-haq ne phūñkā bātil charāġh raushan murād hāsil
tasavvur-e-yār thā jo dil meñ bhaḌak uThā misl nār-e-dar-kHas
jalāyā 'ulvī' kā ye tan-e-gul charāġh raushan murād hāsil
ye bazm mein jam-e-mai-o-saqi se wa'iza tujh ko zid 'abas hai
kabhi tu kar un mein ho ke shamil charagh raushan murad hasil
ba-in tajalli-o-sada-rui tu husn mein garche be-misl hai
magar ho 'ariz pe tere ek til charagh raushan murad hasil
faragh-e-dil se KHushi manao lo ab to ghi ke diye jalao
ki aai 'ashiq ki chhati pe sal charagh raushan murad hasil
jo kijiye saiqal-e-tabi'at nikalta hai joauhar-e-haqiqat
ki 'shams' se jab ki uTh gaya zil charagh raushan murad hasil
jamal-e-tanzih bahr-e-zati hai wan na ghaeb hai na shahadat
jalal-e-tashbih mauj-e-sahil charagh raushan murad hasil
amanat-e-husn-o-'ishq hargiz uThe na arz-o-sama se lekin
hua bashar jab ki us ka hamil charagh raushan murad hasil
bar aai kHub aarzu-e-gul-gir nikli parwana ki tamanna
mue ye hote hain pesh-e-mahfil charagh raushan murad hasil
tajalli-e-nayyar-e-haqiqi se jab ki chamke zamin ke zarre
zuhur-e-haq ho ke phir tu kaamil charagh raushan murad hasil
jalae lam'at-e-barq-e-wahdat ne kHashak-e-haye kasrat
tajalli-e-haq ne phunka baatil charagh raushan murad hasil
tasawwur-e-yar tha jo dil mein bhaDak uTha misl nar-e-dar-kHas
jalaya 'ulwi' ka ye tan-e-gul charagh raushan murad hasil
- Book : KHumkhana-e-Azli (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.