Sufinama

ye jo halka halka surur hai

Abdul Hameed Adam

ye jo halka halka surur hai

Abdul Hameed Adam

MORE BYAbdul Hameed Adam

    ye jo halkā halkā surūr hai

    ye terī nazar qusūr hai

    ki sharāb piinā sīkhā diyā

    tire pyaar ne tirī chaah ne

    terī bahkī-bahkī nigāh ne mujhe ik sharābī banā diyā

    sharāb kaisī ḳhumār kaisā

    ye sab tumhārī navāzisheñ haiñ

    pilā.ī hai kis nazar se ne

    ki mujh ko apnī ḳhabar nahīñ hai

    terī bahkī-bahkī nigāh ne mujhe ik sharābī banā diyā

    saarā jahāñ mast jahāñ nizām mast

    ḳhum mast shīsha mast subū mast jaam mast

    din mast raat mast sahar mast shaam mast

    yuuñ to saaqī har tarah tere maiḳhāne meñ hai

    vo bhī thoḌī jo in āñkhoñ ke paimāne meñ hai

    sab samajhtā huuñ terī ishva-garī ai saaqī

    kaam kartī hai nazar naam hai paimāne

    terī bahkī-bahkī nigāh ne mujhe ik sharābī banā diyā

    terā pyaar hai merī zindagī

    na namāz aatī hai mujh ko na vuzū aatā hai

    sajda kar letā huuñ jab sāmne aatā hai

    jo terī ḳhushī vo merī ḳhushī

    ye mere junūñ hai mo.ajiza

    jahāñ apne sar ko jhukā diyā

    vahāñ maiñ ne kā'ba banā diyā

    mere baa'd kis ko satāoge

    maiñ ne un ke sāmne avval to ḳhanjar rakh diyā

    phir kaleja rakh diyā dil rakh diyā sar rakh diyā

    aur 'arz kiyā

    mere baa'd kis ko satāoge

    mujhe kis tarah se miTāoge

    kahāñ ke tiir chalāoge

    merī dostī balā.eñ lo

    mujhe haath uThā kar duā.eñ do

    tumheñ ek qātil banā diyā

    terī bahkī-bahkī nigāh ne mujhe ik sharābī banā diyā

    ye jo halka halka surur hai

    ye teri nazar ka qusur hai

    ki sharab pina sikha diya

    tere pyar ne teri chah ne

    teri bahki-bahki nigah ne mujhe ek sharabi bana diya

    sharab kaisi KHumar kaisa

    ye sab tumhaari nawazishen hain

    pilai hai kis nazar se tu ne

    ki mujh ko apni KHabar nahin hai

    teri bahki-bahki nigah ne mujhe ek sharabi bana diya

    sara jahan mast jahan ka nizam mast

    KHum mast shisha mast subu mast jam mast

    din mast raat mast sahar mast sham mast

    yun to saqi har tarah ki tere maiKHane mein hai

    wo bhi thoDi si jo in aankhon ke paimane mein hai

    sab samajhta hun teri ishwa-gari ai saqi

    kaam karti hai nazar nam hai paimane ka

    teri bahki-bahki nigah ne mujhe ek sharabi bana diya

    tera pyar hai meri zindagi

    na namaz aati hai mujh ko na wuzu aata hai

    sajda kar leta hun jab samne tu aata hai

    jo teri KHushi wo meri KHushi

    ye mere junun ka hai moajiza

    jahan apne sar ko jhuka diya

    wahan main ne ka'ba bana diya

    mere ba'd kis ko sataoge

    main ne un ke samne awwal to KHanjar rakh diya

    phir kaleja rakh diya dil rakh diya sar rakh diya

    aur 'arz kiya

    mere ba'd kis ko sataoge

    mujhe kis tarah se miTaoge

    kahan ja ke tir chalaoge

    meri dosti ki balaen lo

    mujhe hath uTha kar duaen do

    tumhein ek qatil bana diya

    teri bahki-bahki nigah ne mujhe ek sharabi bana diya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now