janm kanhaiyaa-jii
hai riit janm kii yuu.n hotii jis ghar me.n baalaa hotaa hai
us manDal me.n har man bhiitar sukh chain do-baalaa hotaa hai
sab baat bithaa kii bhuule hai.n jab bholaa-bhaalaa hotaa hai
aanand mundele baajat hai.n jab bhavan ujaalaa hotaa hai
yuu.n nek naxhattr lete hai.n is duniyaa me.n sansaar janm
par un ke aur hii lachchhan hai.n jab lete hai.n autaar janm
subh saa.at se yuu.n duniyaa me.n autaar garbh me.n aate hai.n
jo naar daman hai.n dhyaan bhale sab un kaa bhed bataate hai.n
vah nek mahuurat se jis dam is sishT me.n janme jaate hai.n
jo liilaa rachnii hotii hai vah ruup ye jaa dikhlaate hai.n
yuu.n dekhne me.n aur kahne me.n vah ruup to baale hote hai.n
par baale hii pan me.n un ke ab kaar niraale hote hai.n
ye baat kahii jo mai.n ne ab yuu.n is ko tuu ab dhyaan lagaa
hai panDit pustak beach likhaa thaa ka.ns jo raajaa mathuraa kaa
dhan Dher bahut bal tej nipaT saamaan aur Diil ba.Daa
gaj aur tura.ng achchhe niike ambaarii hove ziin sajaa
jab ban-Than uu.nche hastii par vah paapii aan nikaltaa thaa
sab saaz jhalaa-jhal kartaa thaa aur sa.ng kaTak dil chaltaa thaa
ek roz jo apne bhuj bal par vah ka.ns bahut maGruur hu.aa
aur ha.ns kar bolaa duniyaa me.n hai duujaa kaun balii mujh saa
thaa ek purush vah yuu.n bolaa tuu bhuulaa apne bal par kyaa
jo teraa maaranhaaraa hai so vah bhii janm ab levegaa
vah bolaa mathuraa nagrii me.n ek roz janm vah paavegaa
jab syaanaa hogaa ek pal me.n vah tujh ko maar giraavegaa
vah aise aise kitne hii jo bol garb ke kahtaa thaa
sab log sabhaa ke sunte the kyaa taab jo bole ko.ii zaraa
thaa ek purukh vah yuu.n bolaa tu bhuulaa apne bal par kyaa

tuu apne bal par ai muurakh is aan abas bankaar liyaa
vah tujh ko maar giraa degaa yuu.n jaise bha.ngaa maar liyaa
ye baat sunii jab ka.ns ne vaa.n tab sun kar us ke hosh u.De
bhauman ke bhiitar aan bharaa aur bol garb sagare bisre
yuu.n puuchhaa vah kis des me.n hai.n aur kaun bhavan aa kar janme
kaun us ke maat-pitaa hove.n jo paale.n us ko chaahat se

jab siyaanaa hogaa tab tujh ko ek pal me.n maar giraa.egaa
ye baat sunaa.ii ka.ns ko phir aaTh lakiire.n vaa.n khii.nchii.n
basudev pitaa kaa naam kahaa aur devkii maataa Thahraa.ii
un aaTh lakiiro.n kii baate.n phir ka.ns ko us ne samjhaa.e.n
sab chhoraa-chhorii devkii ke hai.n jag me.n hote aaTh yuu.nhii
jo apnī jaan bachaane kaa kar soch ye us ne phand kiyaa
bulvaa basudev aur devkii ko ek mandir bhiitar band kiyaa
is baat ko sun kar ka.ns bahut tab man me.n apne ghabraayaa
jab naarad-mun us ke paas ga.e tab un se us ne bhed kahaa
tab naarad-mun ne bhii us ko kuchh aur tarah se samjhaayaa
phir ka.ns ko vaa.n is baat sivaa kuchh aur na maarag ban aayaa

bulvaa basudev aur devkii ko ik mandir bhiitar band kiyaa
jab qaid kiyaa un dono.n ko tab chaukii-daar diye biThlaa
ek aan na nickson paave.n ye phir un sab ko ye hukm diyaa
saamaan raso.ii kaa jo thaa sab un ke paas diyaa rakhvaa
aur dvaar diye us mandir ke tab bhaarii taale bhii ja.Dvaa
hushiyaar lage yuu.n rahne vaa.n nit chaukii ke dene haare
kyaa tab jo koThe chhajje par ik aan parinda par maare
bhay baiThaa thaa jo ka.ns ke man vah bhar kar nii.nd na sotaa thaa
kuchh baat suhaatii naa us ko nit apnī palak bhigotaa thaa
us mandir me.n un dono.n ke jab ko.ii baalak hotaa thaa
ka.ns aan use jhaT maare thaa man maat-pitaa kaa rotaa thaa
ek muddat tak un dono.n kaa us mandir me.n ye haal rahaa
jo baalak un ke ghar janmaa so maartaa vah chanDaal rahaa
phir aayaa vaa.n ek vaqt aisaa jo aay garbh me.n man-mohan
gopaal manohar murlii-dhar shrii-krishn kishoran kamal-nayan
ghanshyaam muraarii banvaarii girdhaarii sundar shyaam-baran
prabhuu-naath bihaarii kan.h-laal sukhdaa.ii jag ke dukh bhanjan
jab saa.at pargaT hone kii vaa.n aa.ii mukuT-dharayyaa kii
ab aage baat janm kii hai jai bolo kirshn-kanhayyaa kii
thaa nek mahiina bhaado.n kaa aur din budh gintii aaThan kii
phir aadhii raat hu.ii jis dam aur hu.aa naxhattra rohinii bhii
shubh saa.at nek muhuurat se vaa.n janme aakar kirshn jabhii
us mandir ke a.ndhiyaare me.n jo aur ujaalii aan bharii
basudev se bolii devkii-jii mat Dar bhuuman me.n gher karo
is baalak ko tum gokul me.n le pahu.ncho aur mat der kaaro
jo us ke tum le jaane me.n yaa.n tak Tak bhii der lagaa.oge
vah dushT use bhii maaregaa pachtaate hii rah jaa.oge
is aan sambhal kar tum is ko jo gokul me.n pahu.nchaa.oge
is baat me.n ye phal paa.oge jo is kii jaan bachaa.oge
vaa.n gokul-baashii jo is ko le apnī god sambhaalegaa
kuchh naam vah is kaa rakh legaa aur mohr dayaa se paa.egaa
jo haal ye vaa.n jaa pahu.nchegaa to is kaa jii bach jaavegaa
jo karm likhii hai to phir bhii mukh ham ko aan dikhaavegaa
jis ghar ke beach palegaa ye vah ghar ham ko batlaavegaa
ham is se milne jaave.nge ye ham se milne aavegaa
ye baat na thii ma.aluum unhe.n ye baalak jag nistaaregaa
kab maar sakegaa ka.ns ise ye ka.ns ko aapii maaregaa
hai aadhii raat abhii to haa.n le jaa.o ise tum apne haal idhar
lipTaa lo apnī chhaatii se de aa.o jaa ke aur ke ghar
man beach unho.n ke thaa Dar ye din hovegaa to ka.ns aa kar
ik aan me.n us ko maaregaa rah jaave.nge ham aa.nsuu bhar

kab maar sakegaa ka.ns use ye ka.ns ko bhii aapii maaregaa
jab devkii ne basuudev-jii se vaa.n ro-ro kar ye baat kahii
vah bole kyuu.nkar le jaa.uu.n hai baahar to chaukii baiThii
aur dvaar lage hai.n taale kul kuchh baat nahii.n mere bas kii
tab devkii bolii.n le jaa.o man iishvar kii rakh aas abhii
vah baalak ko jab le nikle sab saa.nka.D paT paT chhuuT ga.e
the taale jitne dvaar lage us aan jha.D-jha.D TuuT gaye
jab aa.e chaukii-daaro.n me.n tab vaa.n bhii ye suurat dekhii
sab sote paa.e us saa.at har aan jo dete the chaukii
jab sotaa dekhaa un sab ko ho nirbhay nikle vaa.n se bhii
phir aay jamunaa paas jyuu.n hii.n jamunaa-jii dekhii bahut cha.Dhii
ye saach hu.aa man beach unhe.n pair is jal me.n kaise dhariye
hai rain a.ndherii sa.ng baalak is biptaa me.n ab kyaa kariye
yuu.n man me.n Thahraa phir chaliye phir aap hii man mazbuut hu.aa
bhagvaan dayaa par aas lagaa vaa.n jamunaa-jii par dhyaan dharaa
ye jyuu.n jyuu.n paa.nv ba.Dhaate the vah paanii cha.Dhtaa aataa thaa
ye baat lagii jab hone vaa.n basudev gaye man me.n ghabraa
tab paa.nv ba.Dhaave baalak ne jo aap se aur bhiige jal me.n
jab jamunaa ne pad chuum liye jaa pahu.nche paar vah ek pal me.n
jab aan biraaje gokul me.n sab phaaTak vaa.n bhii paay khule
tab vaa.n se chalte-chalte vah phir nand ke dvaare aa pahu.nche
vaa.n nand-mahal ke dvaare bhii sab dekhe paT paT duur kha.De
jo chaukii vaale sote the ab kaun inhe.n roke-Toke
jab beach mahal ke jaa pahu.nche sab sote vaa.n ghar vaale the
har chaar taraf ujyaalii thii jyuu.n saa.njh me.n deve baale the
ek aur achambhaa ye dekho jo raat janm shrii-krishn kii thii
us raat yashodaa ke ghar me.n thii yaaro janmii ek la.Dkii
vaa.n sote dekh jasodaa ko aur badlii kar us baalak kii
us la.Dkii ko vah aap uThaa le nikle aay mathuraa-jii
jab la.Dkii laa.e mandir me.n sab taale mandir laag uThe
jo chaukii dene vaale the so vah bhii us dam jaag uThe
jab bhor hu.ii tab ghabraa kar sudh ka.ns ne lii us mandir kii
jab taale khulvaa beach gayaa tab la.Dkii janmii ek dekhii
le haath phiraayaa chakkar de to paTke vah bin paTke hii
yuu.n jaise bijlii kau.nde hai jaTh chhuuT havaa par jaa pahu.nchii
ye kahtii niklii ai muurakh kyaa tuu ne soch vichaaraa hai
vah jiitaa ab to siis mukuT jo teraa maaranhaaraa hai
jab ka.ns ne vaa.n ye baat sunii man beach bahut saa lajiyaayaa
jo kaaraj hone vaalaa hai vah Taale se kab hai Taltaa
sau fikr kaaro sau pech kaaro sau baat sunaa.o haasil kyaa
har aan vahii yaa.n hotaa hai jo maathe ke hai beach likhaa
hai.n kahte buddh jise ab yaa.n vah soch ba.De Thahraati hai
taqdiir ke aage par yaaro tadbiir nahii.n kaam aatii hai
ab nand ke ghar kii baat suno vaa.n ek achambhaa ye Thahraa
jo raat ko janmii thii la.Dkii aur bhor ko dekhaa to la.Dkaa
gho.Daa naale.n chhuuTii.n naach hu.aa aur naubat kaa gul shor machaa
phir kirshn garag ne naam rakhaa sab kumbe ke mil baiThe aa
nand aur jasodaa aur kvaat karne vaa.n heraa pher lage
pakvaan miThaa.ii mevo.n ke har naarii aage Dher lage
sab naarii aa.ii.n gone kii aur paar-pa.Dosan aa baiThii.n
kuchh Dhol majere laatii thii.n kuchh giit jachaa ke gaatii thii.n
kuchh har-dam mukh is baalak kaa balihaarii ho kar dekh rahii.n
kuchh thaal panjerii ke rakhtii.n kuchh so.nTh saThoraa kartii thii.n
kuchh kahtii thii.n ham baiThe hai.n neg aaj kaa din kaa lene ko
kuchh kahtii thii.n ham to aa.e hai.n nand bidhaavaa dene ko
ko.ii ghuTii baiThii garm kare ko.ii Daale uspand aur bhuusii
ko.ii laa.ii ha.nsulii aur kha.Dve ko.ii kurtaa Topii meva ghii
ko.ii dekhe ruup us baalak kaa ko.ii maathaa chuume mehar-bharii
ko.ii bhavo.n kii taariif kare ko.ii aa.nkho.n kii ko.ii palko.n kii
ko.ii kahtii umr ba.Dii hove ai biir tihaare baalak kii
ko.ii kahtii biyaah bahuu laa.o us aas muraado.n vaale kii
ko.ii kahtii baalak KHuub hu.aa ai bahnaa terii nek-ritii
ye baale un ko milte hai.n jo duniyaa me.n hai.n ba.Dbhaagii
is kumbe kii bhii shaan ba.Dhii aur bhaag ba.De is ghar ke bhii
ye baate.n sab kii sun sun kar ye baat jasodaa kahtii thii
ai biir ye baalak jo aisaa ab mere ghar me.n janmaa hai.n
kuchh aur kahuu.n mai.n kyaa tum se bhagvaan kii mo pe kirpaa hai
thii kone kone KHush-vaqtii aur table taal khaTakte the
ko.ii naach rahii ko.ii kuud rahii ko.ii ha.ns ha.ns ke kuchh ruup saje
har chaar-taraf aanande.n thii.n vaa.n ghar me.n nand jasodaa ke
kuchh aa.ngan beach biraajain thii ko.ii baiThii koThe aur chhajje
so KHuubii aur KHush-haalii hii dikhlaatii thii saamaan kha.Dii
sach baat hai baalak hone kii hai duniyaa me.n aanand ba.Dii
phir aur KHushii kii baat hu.ii jab riit hu.ii dukaano.n kii
rakhavaa.ii vaddh kii maTkii phir aur Daalii haldii bahuterii
ye us par phe.nke bhar-bhar kar vah us par Daale gha.Dii gha.Dii
ko.ii puuje mukh aur baahin ko ko.ii sakharnii phe.nke aur muTh.Dii
is vaddh kii bhii ra.ng-raliyo.n me.n ruup aur hu.aa nar-naarii kaa
aur tan kii abran yuu.n bhiige juu.n ra.ng ho kesar kyaarii kaa
sukh manDal me.n ye dhuum machii aur har negii aur jogii bhii
kuchh naache.n bhaa.nD bhiigte bhii kuchh hij.De paave.n bel ba.Dii
aanand bidhaave baaj rahe narsa.nge sarnaa aur tara.ii
ra.ngiin sunahre paalne bhii le haath kha.De kitne parbhii
har aan uThaatii thii.n maanik kyaa gintii ruupe sone kii
nand aur jasodaa ne aisii kii shaadii baalak hone kii
jo negii jogii the un ko us aan nipaT KHush-haal kiyaa
pahraa.e baage resham ke aur zar bhii baKHshaa bahteraa
aur jitne naachne vaale the asbaab unhe.n bhii KHuub diyaa
mehmaan jo ghar me.n aa.e the sab un kaa bhii aadar maan kiyaa
din-raat chhuTTii hone tak man KHush-dil log-lagaanii kaa
bhar thaal ruupe aur mohre.n dii.n jab neg chukaayaa daa.ii kaa
nand aur jasodaa baalak ko vaa.n haatho.n chhaa.nv me.n rakhte the
nit pyaar kare.n tan-man vaare.n suthre abran gahne niike
jii bahlaate man parchaate aur KHuub khilaune mangvaate
har aan jhulaate paalne me.n vah iidhar aur udhar baiThe
kar yaad 'naziir' ab har saa.at us paalne aur us jhuule kii
aanand se baiTho chain kaaro jai bolo kaa.nh jhanDuule kii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.