kahaa.n hai laa-makaa.n me.n dar-ba-dar allaah hii allaah hai

Aashiq Hyderabadi
MORE BYAashiq Hyderabadi
kahaa.n hai laa-makaa.n me.n dar-ba-dar allaah hii allaah hai
KHudaa.ii me.n har ik fard-e-bashar allaah hii allaah hai
ahad se jo banaa ahmad usii kaa naam hai vaahid
hamaaraa ik yahii paiGaambar allaah hii allaah hai
abuu-bakr aur 'usmaan hai.n KHudaa nazdiik 'aarif ke
'alii allaah hii allaah hai 'umr allaah hii allaah hai
khulaa nuurussamaavaat kii aayat se yahii 'uqda
ki zer allaah hii allaah aur zabar allaah hii allaah hai
kHayaal-e-suurat-e-vallail val-fajr ab jo rakhte hai.n
hamaare paas har shaam-o-sahar allaah hii allaah hai
samajh kar maa'nii-e-aa-mantu-billah ab ye kahtaa huu.n
hai KHair allaah hii allaah aur shar allaah hii allaah hai
yahii piir-e-muGaa.n yaa-qaabiz pa.Dh-pa.Dh ke kahtaa hai
hai naar allaah hii allaah aur shar allaah hii allaah hai
hai mutlaq naam usii kaa sab jahaa.n me.n qaazii-ul-haajaat
hai siim allaah hii allaah aur zar allaah allaah hii hai
nihaal-e-gulshan-e-hastii ugaa hai pa.Dh ke ye kalima
shajar allaah hii allaah hai samar allaah hii allaah hai
yahii kahtaa thaa aazar KHud banaa kar but ko haatho.n se
sanam allaah hii allaah hai hajar allaah hii allaah hai
tajallii-e-jaalii aur jamaalii se khulii ye ramz
hai shams allaah hii allaah aur qamar allaah hii allaah hai
mazaa har ik nafas aatii hai mujh ko jaan-e-jaanaa.n se
saraapaa-o-dil-o-kHuun-e-jigar allaah hii allaah hai
dur-e-shahvaar kahtaa hai lagaa kar mu.nh ko kaano.n se
zamurrad aur yaaquut-o-guhar allaah hii allaah hai
agar chashm basiirat hai to dekh ab saarii KHilqat me.n
ki har ik zarra me.n KHud jalva-gar allaah hii allaah hai
to jis kii diid kaa taalib hai terii mardumak me.n vo
samajh ai bul-havas terii nazar allaah hii allaah hai
samundar josh khaa-khaa kar yahii karataa hai shor-o-Gul
hubaab-o-qatra-o-mauj aur bha.nvar allaah hii allaah hai
buzurg-o-kHirad kaa rutba milegaa kab haqiiqat me.n
pidar allaah hii allaah hai pisar allaah hii allaah hai
kare.n ham faisla ab kis tarh shaiKH-o-barhaman kaa
idhar allaah hii allaah udhar allaah hii allaah hai
hai.n 'aashiq' us ke ham bande hamaaraa kHvaaja-e-chishtii
mu'iinuddiin piir-e-raahbar allaah hii allaah hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.