aa.nKHe.n ho.n terii yaad me.n nam aur ziyaada

jhuk jaa.e ye dil suu-e-haram aur ziyaada
taktaa hii rahuu.n gumbad-e-kHazraa ke mai.n jalve
ho jaaye jo tho.Daa saa karam aur ziyaada
har vaqt sajaa.oge daruudo.n kii jo mahfil
sarkaar ke phir ho.nge karam aur ziyaada
bas aayaa hii jaataa hai ko.ii dam me.n madiina
ai shauq uThaa apne qadam aur ziyaada
jab bhii.D bane ko.ii to kar yaad nabii ko
rakhegaa KHudaa teraa bharam aur ziyaada
qur.aan se hai miltaa lak-zikruk kaa ishaara
lahraa.egaa aaqaa kaa 'alam aur ziyaada
likhtaa hii rahegaa na.at 'niyaazii' tuu nabii kii
allaah kare zor-e-qalam aur ziyaada

- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 95)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.