daaman-e-mustafaa thaam lo 'aasiyo
daaman-e-mustafaa thaam lo 'aasiyo
aa.e.ngii rahmate.n josh par aaj bhii
luuT sakte ho gar luuT lo be-KHatar
un kaa jaarii hai faiz-e-nazar aaj bhii
chaudah sau saal pahle jo uThii nazar
chaa.nd do ho gayaa ek pal me.n magar
’azmat-e-mustafaa kii are be-KHabar
de rahaa hai shahaadat qamar aaj bhii
de rahii hai.n madiine kii galiyaa.n sadaa
ab bhii joban pe hai gulshan-e-mustafaa
jis jagah se hai.n guzre habiib-e-KHudaa
mahak detii hai vo rah-guzar aaj bhii
apne allaah se aaqaa kaa dar maa.ng lo
apne aaqaa se allaah kaa ghar maa.ng lo
un se rahmat bharii ik nazar maa.ng lo
hogii taariikiyo.n me.n fajar aaj bhii
jo jhuke un ke dar aisaa sar maa.ng lo
be-KHabar ho to un kii KHabar maa.ng lo
yaad-e-sarkaar me.n chashm-e-tar maa.ng lo
zindagii KHuub hogii basar aaj bhii
na.at sarmaaya-e-zindagii ban ga.ii
zikr un kaa merii bandagii ban ga.ii
murda-dil ke liye taazgii ban ga.ii
naam-e-sarkaar me.n hai asar aaj bhii
har gha.Dii naam le apnii sarkaar kaa
tuu 'niyaazii' madiine ke Gam-KHvaar kaa
ban jaa saa.el mohammadin ke darbaar kaa
phir ye tere hai.n shaam-o-sahar aaj bhii
daaman-e-mustafaa thaam lo 'aasiyo
aa.e.ngii rahmate.n josh par aaj bhii
luuT sakte ho gar luuT lo be-KHatar
un kaa jaarii hai faiz-e-nazar aaj bhii
chaudah sau saal pahle jo uThii nazar
chaa.nd do ho gayaa ek pal me.n magar
’azmat-e-mustafaa kii are be-KHabar
de rahaa hai shahaadat qamar aaj bhii
de rahii hai.n madiine kii galiyaa.n sadaa
ab bhii joban pe hai gulshan-e-mustafaa
jis jagah se hai.n guzre habiib-e-KHudaa
mahak detii hai vo rah-guzar aaj bhii
apne allaah se aaqaa kaa dar maa.ng lo
apne aaqaa se allaah kaa ghar maa.ng lo
un se rahmat bharii ik nazar maa.ng lo
hogii taariikiyo.n me.n fajar aaj bhii
jo jhuke un ke dar aisaa sar maa.ng lo
be-KHabar ho to un kii KHabar maa.ng lo
yaad-e-sarkaar me.n chashm-e-tar maa.ng lo
zindagii KHuub hogii basar aaj bhii
na.at sarmaaya-e-zindagii ban ga.ii
zikr un kaa merii bandagii ban ga.ii
murda-dil ke liye taazgii ban ga.ii
naam-e-sarkaar me.n hai asar aaj bhii
har gha.Dii naam le apnii sarkaar kaa
tuu 'niyaazii' madiine ke Gam-KHvaar kaa
ban jaa saa.el mohammadin ke darbaar kaa
phir ye tere hai.n shaam-o-sahar aaj bhii
- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 14)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.