mere daataa ke 'urs par aane vaalo suno aa rahii hai sadaa-e-bilaalii

Abdul Sattar Niazi
MORE BYAbdul Sattar Niazi
Interesting Fact
منقبت درشان داتا گنج بخش حضرت علی ہجویری (لاہور۔پاکستان)
mere daataa ke 'urs par aane vaalo suno aa rahii hai sadaa-e-bilaalii
ko.ii dam me.n hai.n aane vaale mohammad sajaa.e hu.e dosh par kamlii kaalii
udhar mere daataa kii baaraat idhar hotii rahmat kii barsaat dekho
salaamii ko aa.e hai.n ajmerii KHvaaja ye hai mere daataa kaa darbaar-e-'aalii
vo kHvaaja-e-ganj-e-shakar bhii hai.n aa.e lo kaliyar ke vo taajvar bhii hai.n aa.e
hai.n ban-Than ke yaaro.n ke jhurmuT me.n dekho madiine se aa.e madiina ke vaalii
hai kitnaa hasii.n tere ziine kaa naqsha hai rauza tumhaaraa madiine kaa naqsha
terii jaaliyo.n me.n nazar aa rahii hai mere kamlii vaale ke rauze kii jaalii
KHudaa-raa nigaah-e-karam ab to kar do faqiiro.n ke daaman KHazaano.n se bhar do
ba.Dii aas lekar ai hujvairii daataa kha.De hai.n tire dar pe tere savaalii
KHudaa kii hai rahmat ghaTaa ban ke chhaa.ii gha.Dii aaj maqbuuliyat kii hai aa.ii
'niyaazii' du'aa maa.ngo apne vatan ke chaman kii salaamat rahe Daalii-Daalii

- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.