tumhaar naam pe sab kuchh milaa Gariib-navaaz
Interesting Fact
منقبت درشان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر۔راجستھان)
tumhaar naam pe sab kuchh milaa Gariib-navaaz
tumhaar naam pe sab kuchh fidaa Gariib-navaaz
qubuul ho ye hamaarii du'aa Gariib-navaaz
phir apne dar pe hame.n lo bulaa Gariib-navaaz
mujhe bhii hazrat-e-'usmaan kaa mile sadqa
ki mai.n bhii huu.n tire dar kaa gadaa Gariib-navaaz
uja.D sakegaa KHizaa.n se na mire dil kaa nagar
tumhaaraa naam hai dil par likhaa Gariib-navaaz
navaaz ham ko bhii apnii ’inaayato.n se shahaa
hame.n bhii jaam mile diid kaa Gariib-navaaz
jahaa.n-jahaa.n ye hai.n aabaad ahl-e-chisht tire
vahaa.n-vahaa.n pe hai jalva tiraa Gariib-navaaz
mu.iin chisth vahii.n aa.gaye karam ban kar
jahaa.n kisii ne pukaaraa hai yaa Gariib-navaaz
ye mast fazaa kyuu.n hai aaj mahfil kii
yaqii.n hai ki hai.n jalva-numaa Gariib-navaaz
vo yuurish-e-Gam-e-duniyaa se Dagmagaa na sakaa
jise milaa hai tiraa aasraa Gariib-navaaz
ye chishtiyo.n kii hai mahfil 'niyaazii' sun to zaraa
har ek dil se hai aatii sadaa Gariib-navaaz

- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.