Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ban ga.ii baat un kaa karam ho gayaa shaaKH-e-naKHl-e-tamannaa harii ho ga.ii

Abdul Sattar Niazi

MORE BYAbdul Sattar Niazi

    ban ga.ii baat un kaa karam ho gayaa shaaKH-e-naKHl-e-tamannaa harii ho ga.ii

    mere lab par madiine kaa naam aa gayaa baiThe-baiThe mirii haazirii ho ga.ii

    mujh par rahmat hu.ii mere rab kii ba.Dii mehrbaa.n ho gayaa kamlii vaalaa nabii

    pa.Dh ke soyaa duruud un pe mai.n jis gha.Dii phir ziyaarat mujhe pe kii ho ga.ii

    kitnaa be-kaif thaa mai-kade kaa samaa.n dil kaa paimaana thaa kirchiyaa.n kirchiyaa.n

    jis gha.Dii aa ga.e saaqii-e-do-jahaa.n mahfil-e-mai-kashaa.n madh-bharii ho ga.ii

    farsh par bhii hu.aa zikr-e-salle-'alaa ’arsh par hu.aa charchaa sarkaar kaa

    har taraf saj ga.ii mahfil-e-mustafaa har taraf yaa nabii yaa nabii ho ga.ii

    mahfil-e-naa't me.n aayaa-jaayaa karo apne suu-e-muqaddar jagaayaa karo

    mahfil-e-naa't me.n aa ke baiThaa hai jo us kii vallaah tabii.at Ganii ho ga.ii

    jab mai.n pahu.nchaa dar-e-shah-e-laulaak par jhuk gayaa KHud-baKHud un kii chaukhaT pe sar

    Gaib se aa.ii aavaaz ai be-KHabar jaa tirii kho.ii qismat kharii ho ga.ii

    sabz gumbad ke baiThaa huu.n saa.e tale jaaliyo.n ke bhii jii bhar ke bose liye

    naqsh paa.e nabii par hai.n sajde kiye yuu.n mo'tabar bandagii ho ga.ii

    jho.nke ThanDii havaa.o.n ke aane lage log aa.nkho.n par apnii biThaane lage

    merii jis din se ai taajdaar-e-haram dosto.n se tire dostii ho ga.ii

    mujh pe kitnaa 'niyaazii' karam ho gayaa duniyaa kahne lagii panjtan kaa gadaa

    us gharaane kaa jab se mai.n naukar hu.aa sab se achchhii mirii naukrii ho ga.ii

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Sabri Brothers

    Sabri Brothers

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now