KHushii har taraf ghar-ba-ghar ho rahii hai falak par bhii rahmat ke baadal hai.n chhaa.e

Abr Shah Warsi
MORE BYAbr Shah Warsi
KHushii har taraf ghar-ba-ghar ho rahii hai falak par bhii rahmat ke baadal hai.n chhaa.e
karo pesh mil kar daruudo.n ke gajre ki hai.n mustafaa aaj duniyaa me.n aa.e
fazaa.e.n mu.aafiq havaa.e.n mu.aafiq bahaare.n mu.aafiq ghaTaa.e.n mu.aafiq
karam hii karam hai ki haq ne hamaare hai.n barso.n ke so.e muqaddar jagaa.e
chaman sab hai.n mahke shajar sab hai.n lahke vo chaTkii hai.n kaliyaa.n vo bulbul hai.n chahke
ye rahmat kii har suu havaa chal rahii hai dilo.n ke hai.n qudrat ne Gunche khilaa.e
amiiro.n me.n KHushiyaa.n faqiiro.n me.n KHushiyaa.n asiiro.n me.n KHushiyaa.n zahiiro.n me.n KHushiyaa.n
ki vo kHaatim-ul-ambiyaa ban ke rahmat zamaane me.n hai.n aaj tashriif laa.e
giraa mu.nh ke bal laat manaat TuuTaa hubal bhii hu.aa chuur 'uzza bhii phuuTaa
hu.aa sard aatish-kada aur shaitaa.n hai rotaa pahaa.Do.n me.n mu.nh ko chhupaa.e
ye KHatm-e-rusul hai.n ye sham'-e-subul hai.n ye baa.is-e-kul hai.n ye vahdat ke gul hai.n
karo jaan qurbaa.n ai 'abr' un par unho.n ne hai.n barso.n ke uj.De basaa.e

- Book : Abr-e-Ishq (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.