be-navaa.o.n be-kaso.n aur Gamzado.n ke vaaste

Agha Saail Kashmiri
MORE BYAgha Saail Kashmiri
be-navaa.o.n be-kaso.n aur Gamzado.n ke vaaste
baa’is-e-taskiin-e-kHaatir sirf teraa naam hai
jis kaa dil diivaana-e-sarkaar-e-’aalam hai use
fikr-e-duniyaa hai na KHauf-e-gardish-e-ayyaam hai
dard de yaa de sukuu.n mere dil-e-majbuur ko
vo bhii teraa lutf hai ye bhii teraa in'aam hai
naam teraa guu.njtaa hai zer-e-garduu.n chaar-suu
teraa zikr-e-muhtshim sadiyo.n se sub.h-o-shaam hai
is shah-e-vaalaa ke dar kaa mai.n bhii huu.n adnaa Gulaam
jis kaa hai rahmat laqab jis kaa mohammad naam hai
chhaa rahaa hai aaj bhii har suu tiraa abr-e-karam
mujh se 'saa.il' par bhii terii baarish-e-ikraam hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.