banda-e-qaadir kaa qaadir bhii hai 'abdul-qaadir

sirr-e-baatin bhii hai zaahir bhii hai 'abdul-qaadir
muftii-e-shar.a bhii hai qaazii-e-millat bhii hai
'ilm-e-asraar se maahir bhii hai 'abdul-qaadir
mamba-e-faiz bhii hai majma'-e-afzaal bhii hai
mehr-e-irfaa.n kaa munavvar bhii hai 'abdul-qaadir
qutub-e-abdaal bhii hai mehvar-e-irshaad bhii hai
markaz-e-daa.ira-e-sirr bhii hai 'abdul-qaadir
sarlk-e-’irfaa.n kii ziyaa hai yahii durr-e-mukHtaar
faKHr-e-ashbaah-o-nazaa.ir bhii hai 'abdul-qaadir
us ke farmaan hai.n sab shaareh-e-hukm-e-shaare’
maz.har-e-naahii-o-aamir bhii hai 'abdul-qaadir
zii tasarruf bhii hai maazuun bhii muKHtaar bhii hai
kaar-e-'aalam kaa mudabbir bhii hai 'abdul-qaadir
rashk-e-bulbul hai 'razaa' laala-e-sad daaG bhii hai
aap kaa vaasif-o-zaakir bhii hai 'abdul-qaadir

- Book : Hadaeq-e-Bakhshish (Pg. 25)
- Author : Aala Hazrat Maulana Ahmad Raza Khan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.