jalva-gar phir se agar nuur-e-payambar ho jaa.e

Akhtar Mahmood Warsi
MORE BYAkhtar Mahmood Warsi
jalva-gar phir se agar nuur-e-payambar ho jaa.e
ruunumaa phir to vahii suurat-e-haidar ho jaa.e
gar adaa nutq se mad.h-e-shah-e-safdar ho jaa.e
vo bhii min-jumla-e-ausaaf-e-payambar ho jaa.e
jis ko haasil hai jabii.n-saa.ii-e-dargaah-e-najaf
qaabil-e-rashk na kyuu.n us kaa muqaddar ho jaaye
allaah allaah sabaa laa.ii vo paiGaam-e-tarab
jis se taaza chaman-e-diin-e-payambar ho jaa.e
marhabaa sall-e-'alaa ai chaman-aaraa-e-hayaat
kufr iimaa.n se tire diin kaa jauhar ho jaa.e
zulmat-e-kufr miTaane ko jahaa.n se yaa-rab
phir vahii jalva-numaa suurat-e-haidar ho jaaye
shab-e-me.araaj ke lahje me.n jo tuu baat kare
sun.ne vaalaa tirii aavaaz kaa shashdar ho jaaye
us ke 'irfaan-e-haqiiqat kii na manzil puuchho
jis kaa har ek nafas nafs-e-payambar ho jaa.e
mudda.ii tan ke kahii.n aa.e agar husn tamaam
markaz-e-ahl-e-nazar jalva-e-haidar ho jaa.e
kuchh to baKHshish kaa vasiila sar-e-mahshar ho jaaye
aur ek matl.a mad.h-e-shah-e-safdar ho jaaye
yaa 'alii aap ke asmaa-e-mubaarak kii qasam
naam lete hii sukuu.n dil ko muyassar ho jaaye
dekh le jo tirii mastii bharii aa.nkho.n kaa suruur
kyuu.n na vo be-KHabar baada-e-saaGar ho jaa.e
sharbat-e-diid kaa taalib hai azal se 'aKHtar'
is taraf bhii karam ai saaqii-e-kausar ho jaa.e

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.