misaal-e-mustafaa ko.ii paiGambar ho nahii.n saktaa

Ali Hussain Ashrafi
MORE BYAli Hussain Ashrafi
misaal-e-mustafaa ko.ii paiGambar ho nahii.n saktaa
sitaara laakh chamke mehar-e-anvar ho nahii.n saktaa
do ra.ngii 'aashiq-o-maa'shuuq me.n bas ho nahii.n saktii
'ahd kaa jism aur ahmad kaa saaya ho nahii.n saktaa
ba-juz hubb-e-mohammad kaamil-e-iimaa.n ho nahii.n saktaa
faqat allaah kaa qaa.il musalmaa.n ho nahii.n saktaa
namaaz achchhii haj achchhaa roza achchhaa aur zakaat achchhii
magar mai.n baavajuud is ke musalmaa.n ho nahii.n saktaa
fidaa jab tak na mai.n ho jaa.uu.n us maah-e-madiina par
KHudaa shaahid hai kaamil meraa iimaan ho nahii.n saktaa
tajallii zaat kii hai jalva-e-rukHsaar-e-ahmad me.n
hasii.n aisaa ko.ii allaahu akbar ho nahii.n saktaa
'arab me.n sab se pahle kis ne tasdiiq-e-risaalat kii
sadaaqat me.n ko.ii siddiiq-e-akbar ho nahii.n saktaa
parvaane ko hai charaaG parvaane ko phuul bas
siddiiq ke liye hai KHudaa kaa rasuul bas
abuu-bakr-o-'omer aur hazrat-e-'usmaan aur haidar
ko.ii un kHaasgaan-e-haq kaa ham-sar ho nahii.n saktaa
nabii ke yaar aur ansaar sab afzal hai.n 'aalam me.n
magar misl-e-'alii ko.ii biraadar ho nahii.n saktaa
cha.Dhaayaa un ko kaa.ndhe par rasuulullaah ne aksar
ko.ii ham-martaba shabbiir-o-shabar ho nahii.n saktaa
ko.ii ho muttaqii yaa ’aalim-o-zaahid zamaane me.n
magar aal-e-mohammad ke baraabar ho nahii.n saktaa
hu.aa tuu 'ashrafii' mad.h-e-sarkaar-e-do-'aalam kaa
nasiib kaa ko.ii tujh saa sikandar ho nahii.n saktaa
kabhii jhuuTaa KHudaa kaa 'ahd-o-paimaa.n ho nahii.n saktaa
mohammad dosraa paidaa jahaa.n me.n ho nahii.n saktaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.