amiir-e-diin-e-paiGambar alii haidar alii haidar

mire maulaa mire servar alii haidar alii haidar
hai.n nuur-e-ahmad-o-daavar alii haidar alii haidar
ziyaa-e-akHtar-o-kHaavar alii haidar alii haidar
nabii kii jaa.n alii haidar nabii kaa dil alii haidar
nabii kii zaat kaa maz.har alii haidar alii haidar
yahi sajjaad kahte the yahi baaqar yahi jaafar
nabii kaa nuur hai yaksar alii haidar alii haidar
alii hai.n ilm kaa mamba.a alii hai.n ilm kii ma.adan
nabii ke ilm kaa hai.n dar alii haidar alii haidar
alii kaa aa'ashiq-o-shaidaa munaafiq ho nahii.n saktaa
ke hai.n iimaan kaa mehvar alii haidar alii haidar
bane ummat ke maulaa ye faraamiin-e-nabii sun lo
mirii ummat kaa hai rahbar alii haidar alii haidar
imaamat me.n hai.n ye avval salaasil kaa hai.n ye masdar
yahi valiyo.n ke hai.n servar alii haidar alii haidar
alii hai.n afzal-e-ummat nabii ke ba.ad ye sun lo
ke zahraa ke hai.n vo shauhar alii haidar alii haidar
kalaam-ul-laah KHud shaahid hai haidar kii tahaarat par
vo hai.n tathiir me.n athar alii haidar alii haidar
uhud ho badr ho ahzaab ho yaa Gazva-e-kHaibar
vahii Gaalib rahe sab par alii haidar alii haidar
muqaabil jo bhii hai aayaa kabhii vo bach nahii.n paayaa
KHudaa kaa sher vo safdar alii haidar alii haidar
nabii ke saath vafaa.o.n kaa nibhaayaa silsila jis ne
abuu-taalib kaa ve gauhar alii haidar alii haidar
du.aa hai kam-tarii.n faizaan bhii pahu.nche ziyaarat ko
najaf kaa dar khule us par alii haidar alii haidar

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.