auro.n se judaa biimaar shah-e-abraar kii haalat hotii hai

Safiul Alam Shahbazi
MORE BYSafiul Alam Shahbazi
auro.n se judaa biimaar shah-e-abraar kii haalat hotii hai
aaraam me.n kulfat hotii hai takliif me.n raahat hotii hai
us baab-e-hariim-e-naazt pe jab mushtaaq nigaahe.n phirtii hai.n
har sub.h karam farmaate hai.n har shaam 'inaayat hotii hai
ham ahl-e-mataa’-e-shauq ke ghar kyaa chiiz nahii.n ai ahl-e-KHirad
anvaar kii ne.amat hotii hai diidaar kii jannat hotii hai
jazbaat kii tuufaa.n-kHezii bhii furqat ke ghanere baadal bhii
aa.nkho.n kii sunahrii rim-jhim me.n barsaat kii ra.ngat hotii hai
juuyaan-e-ruKH-e-mahbuub ruko vaa apnii zaraa aa.nkhe.n kar lo
vallail-o-zuhaa ke jalvo.n se aaraasta jannat hotii hai
ai ummat-e-haq ke farzando ai shar-e-nabii ke matavaalo
be-raah-ravii sunnat se majruuh 'aqiidat hotii hai
jab bazm-e-’aqiidat kii shaa.n me.n mahbuub kaa naam aa jaataa hai
ai sall-e-'alaa har dil me.n 'ajab pur-kaif masarrat hotii hai
jazbaat kii ra.ng-aamezii me.n ehsaas ke phuul nikharte hai.n
jab shauq javaa.n ho jaataa hai kuchh aur tabii'at hotii hai
ho sharh-e-ahad matluub agar tashriih-e-mohammad pa.Dh jaa.o
un chaar musharrah harfo.n se tashriih-e-haqiiqat hotii hai
aa.iina-e-husn-e-tasavvur me.n tashriif jo vo le aate hai.n
mamnuun 'aqiidat hotii hai mashkuur mohabbat hotii hai
vo nuur ki roz-e-sub.h-e-azal chamkaa thaa sar-e-'arsh-e-aa'zam
us nuur kii raushan kirno.n se kaunain kii ziinat hotii hai
ai shauq ke daaman phail zaraa kuchh aur vasii.a kuchh aur vasii.a
jab zauq-e-talab ba.Dh jaataa hai phir terii zaruurat hotii hai
kuchh nazr-e-’aqiidat ke motii daaman me.n sajaa laayaa huu.n 'safii'
kuchh un kii tavajjoh chaahuu.ngaa kuchh apnii bhii himmat hotii hai

- Book : Kilk-e-Midhat (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.