KHudaa.ii kaa maKHzan vujuud-e-mohammad shahanshaah-e-kHairul-bashar aa rahaa hai

Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
KHudaa.ii kaa maKHzan vujuud-e-mohammad shahanshaah-e-kHairul-bashar aa rahaa hai
vahii nuur hai jis se taKHliiq-e-'aalam vahii nuur pesh-e-nazar aa rahaa hai
ye nuuraanii suurat ye sanjiida fitrat mere mustafaa kii hai paakiiza siirat
KHudaa kii qasam ye KHudaa kaa karam hai samajh me.n vujuud-e-bashar aa rahaa hai
'ajab tarh kii rahnumaa.ii hai un kii KHudaa bhii hai un kaa KHudaa.ii bhii un kii
zaraa Gaur se dekho ai bazm vaalo hamaare dilo.n me.n asar aa rahaa hai
nazar jab se ahl-e-nazar se la.Dii hai KHudaa.ii ke jalvo.n me.n halchal pa.Dii hai
KHudaa KHud mohammad kii suurat me.n aa kar idhar aa rahaa hai udhar jaa rahaa hai
ye masruur dil aur ye ’irfaanii baate.n ye mai-KHaana maa’rifat kii hai.n raate.n
asar jaam-e-vahdat kaa ham se na puuchho mazaa ham ko shaam-o-sahar aa rahaa hai
kitaab-e-sharii’at kaa pahlaa sabaq hai usii me.n mohammad kaa hai raaz pinhaa.n
mohammad ko paa.o to taskiin hogii ki aage kaThin ik safar aa rahaa hai
zabaa.n par sadaaqat kaa kalima hai jaarii tasavvuf ke mai-KHaana kaa hai ye pujaarii
ye hii to hai 'rizvaan' Gulaam-e-mohammad jhukaa.e hu.e apnaa sar aa rahaa hai

- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.