daataa tiraa darbaar hai rahmat kaa KHazaana
Interesting Fact
منقبت در شان داتا گنج بخش حضرت علی ہجویری (لاہور-پنجاب-)
daataa tiraa darbaar hai rahmat kaa KHazaana
hai terii saKHaavat kaa har ik lab pe taraana
meraa hii nahii.n qaul hai har ek valii kaa
hasnain kaa zahraa kaa mohammad kaa 'alii kaa
din-raat hame.n tere karam kaa hai sahaaraa
ma.ngto.n kaa tire kuuche me.n hotaa hai guzaaraa
dar hai tiraa duniyaa me.n Gariibo.n kaa Thikaana
sadqa tire darbaar se paataa hai zamaana
hai kaam tiraa big.De muqaddar ko banaanaa
ajmer ke KHvaaja ne bhii daataa tujhe maanaa
allaah ke valiyo.n me.n to valiyo.n kaa valii hai
tuu aal-e-payambar hai tuu aulaad-e-’alii hai
lahore me.n rahmat hai KHudaa kii tire dam se
'purnam' kii hai har baat banii tere karam se

- Book : Kulliyat-e-Purnam (Pg. 160)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.