madiine kaa ticket kar do 'ataa sarkaar-e-rabbaanii

sanaa-go.ii kaa mil jaa.e sila sarkaar-e-rabbaanii
ye paa.ncho.n gul chaman ke ek gul-daste me.n aa jaa.e.n
tumhe.n hai panjtan kaa vaasta sarkaar-e-rabbaanii
mujhe qatra na tum samjho ju.Daa huu.n ik samandar se
mai.n laa-vaaris nahii.n mere shahaa sarkaar-e-rabbaanii
tumhe.n dekhuu.n to bechainii na dekhuu.n to bhii bechainii
'ajab hai dil kaa mere mas.ala sarkaar-e-rabbaanii
mai.n tanhaa ho ke bhii tanhaa kabhii bhii rah nahii. paayaa
tasavvur me.n rahaa jalva tiraa sarkaar-e-rabbaanii
ko.ii bhii is haqiiqat ko kabhii jhuTlaa nahii.n saktaa
jamaal-e-Gaus kaa hai.n aa.iina sarkaar-e-rabbaanii
'alii ke faiz kaa ab nuur kyuu.n na phaile mahfil me.n
hai un kii aal kii nuurii ziyaa sarkaar-e-rabbaanii

- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 339)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.