sar-halqa-e-auliyaa ho KHvaaja
Interesting Fact
منقبت درشان غریب نواز خواجہ معین الدین حسن چشتی (اجمیر۔ہندوستان)
sar-halqa-e-auliyaa ho KHvaaja
tum hind ke baadshaah ho KHvaaja
tum nuur-e-KHudaa ho nuur-e-ahmad
kyaa jaaniye aur kyaa ho KHvaaja
aulaad-e-'alii-e-murtazaa ho
aa.iina-e-mustafa ho KHvaaja
phailaa.e rumuuz-e-diin-o-ne'mat
haadii-e-rah-e-safaa ho KHvaaja
'aalam me.n dikhaayaa jalva-e-rab
aa.iina-e-haq-numaa ho KHvaaja
KHaalii ho KHudii se haq se pur ho
aa.iina ho aa.iina ho KHvaaja
laakho.n hii Gariibo.n ko navaazaa
dast-e-karam KHudaa ho KHvaaja
bheje ga.e ho rasuul-e-haq ke
mushkil me.n tum aasraa ho KHvaaja
asraar KHudii ke tum ne khole
allaah re tum bhii kyaa ho KHvaaja
be-parda mu.iin-e-diin-e-haq ho
parde me.n na jaane kyaa ho KHvaaja
kyaa chiiz hai kashf aur karaamat
tum us se kahii.n sivaa ho KHvaaja
irshaad hai mo.ajiza nabii kaa
tum boltaa mo.ajiza ho KHvaaja
baato.n me.n dikhaate ho KHudaa ko
tum kaise KHudaa-numaa ho KHvaaja
laakho.n ko banaa diyaa hai tum ne
ab ham pe bhii kuchh dayaa ho KHvaaja
kitno.n hii ko haq-numaa banaayaa
ab 'Gausii' me.n jalva-raa ho KHvaaja
sar-halqa-e-auliyaa ho KHvaaja
tum hind ke baadshaah ho KHvaaja
tum nuur-e-KHudaa ho nuur-e-ahmad
kyaa jaaniye aur kyaa ho KHvaaja
aulaad-e-'alii-e-murtazaa ho
aa.iina-e-mustafa ho KHvaaja
phailaa.e rumuuz-e-diin-o-ne'mat
haadii-e-rah-e-safaa ho KHvaaja
'aalam me.n dikhaayaa jalva-e-rab
aa.iina-e-haq-numaa ho KHvaaja
KHaalii ho KHudii se haq se pur ho
aa.iina ho aa.iina ho KHvaaja
laakho.n hii Gariibo.n ko navaazaa
dast-e-karam KHudaa ho KHvaaja
bheje ga.e ho rasuul-e-haq ke
mushkil me.n tum aasraa ho KHvaaja
asraar KHudii ke tum ne khole
allaah re tum bhii kyaa ho KHvaaja
be-parda mu.iin-e-diin-e-haq ho
parde me.n na jaane kyaa ho KHvaaja
kyaa chiiz hai kashf aur karaamat
tum us se kahii.n sivaa ho KHvaaja
irshaad hai mo.ajiza nabii kaa
tum boltaa mo.ajiza ho KHvaaja
baato.n me.n dikhaate ho KHudaa ko
tum kaise KHudaa-numaa ho KHvaaja
laakho.n ko banaa diyaa hai tum ne
ab ham pe bhii kuchh dayaa ho KHvaaja
kitno.n hii ko haq-numaa banaayaa
ab 'Gausii' me.n jalva-raa ho KHvaaja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.