mubaarak rahmat-e-’aalam ke ham darbaar me.n aa.e

bike the naam par jis ke usii sarkaar me.n aa.e
dil-e-shaidaa vo phuulaa hai nahii.n jaame samaataa hai
KHushii ye hai ki ko.ii ahmad-e-muKHtaar me.n aa.e
kare.n naGme na kyuu.n ham bulbulo.n se na.at-e-ahmad me.n
ki kis armaa.n se us firdaus ke gulzaar me.n aa.e
gunah-gaaro ba.Dho aur sadqe ho kar jholiyaa.n bhar lo
ki ham qismat se apnii us saKHii sarkaar me.n aa.e
muraade.n aaj mu.nh maa.ngii mile.ngii shaah-e-'aalam se
ba.Dii sarkaar me.n aa.e ba.De darbaar me.n aa.e
uThaanaa ruKH se parda yaa nabii ab jalva dikhlaanaa
ki diid-e-haq kii lazzat aap ke diidaar me.n aa.e
adab hai ruk gayaa jab mai.n to dii aavaaz hazrat ne
kahaa.n hai ‘Gausii’-e-kHasta kaho darbaar me.n aa.e

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.