mushkil Taalo shaah-e-umam kar do aaqaa nazar-e-karam

Ghulam Moinuddin Gilani
MORE BYGhulam Moinuddin Gilani
mushkil Taalo shaah-e-umam kar do aaqaa nazar-e-karam
karam tumhaaraa 'aam hai jahaa.n pe mehrbaan ho tum
karam kii bhiik do hame.n kariimaa be-kasaa.n ho tum
mohtaajo.n kaa rakh lo bhram kar do aaqaa nazar-e-karam
tumhaare dar se yaa nabii kahaa.n faqiir jaa.e.nge
tumhii se lo lagaa.ii hai tumhii se bhiik paa.e.nge
ma.ngte hai.n us dar ke ham kar do aaqaa nazar-e-karam
idhar bhii shaah-e-mursalii.n ko.ii ishaaraa chaahiye
habiib-e-kibriyaa karam tumhaaraa chaahiye
kab tak jhele.n ra.nj-o-alam kar do aaqaa nazar-e-karam
jamaal-e-haq-numaa ho tum ye sab tumhaaraa nuur hai
tumhaare faiz-e-'aam kaa har jagah zuhuur hai
ham dukhiyo.n ke Taalo Gam kar do aaqaa nazar-e-karam
gire hai.n mushkilo.n me.n ham ba.Daa kaThin maqaam hai
hamaare lab pe mustafaa faqat tumhaaraa naam hai
har ma.ngte kii aa.nkh hai nam kar do aaqaa nazar-e-karam

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.