anvaar-e-haq ’ayaa.n hai.n KHvaaja ke aastaa.n se

Hairat Shah Warsi
MORE BYHairat Shah Warsi
anvaar-e-haq ’ayaa.n hai.n KHvaaja ke aastaa.n se
is be-nishaa.n ko paayaa mai.n ne usii nishaa.n me.n
raushan hai kul zamaana jis husn-e-zau-fishaa.n se
husn-e-mu.iin-e-dii.n hai chamkaa jo laa-makaa.n se
KHvaaja kii barkato.n se KHvaaja kii rahmato.n se
ajmer kii vo galiyaa.n miltii hai.n aasmaa.n se
juud-o-'ataa-o-bakHshish faizaan ke karam ke
chashme ubal rahe hai.n KHvaaja ke aastaa.n se
muhtaaj-o-be-navaa kii ab laaj hai tujhii ko
sab kuchh uThuu.ngaa lekar tere hii aastaa.n se
terii tajalliyo.n me.n gum ho chukaa hai hairat
paa.e nishaan apnaa hairat-zada kahaa.n se

- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 128)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.