ham ne vasf-e-gauhar-e-irfaa.n ko jab likhnaa kiyaa

mauj se mustar kashiida saf.ha-e-dariyaa kiyaa
ho gayaa ahmad hii apnii miim-e-maz.har se ahad
is me.n kuchh pardaa nahii.n hai naam kaa pardaa kiyaa
ain-e-ilm-e-haq nazar aayaa use ain-e-alii
suurat-e-aa.iina jis ne chashm-e-dil ko vaa kiyaa
dast-e-qudrat hai mirii nazro.n me.n zaat-e-panjtan
be-sabab allaah ne in ko nahii.n yakjaa kiyaa
shash-jihat kii kis se ho raunaq ba-juz baarah imaam
aap haq ne sab ko maalik diin-o-duniyaa kaa kiyaa
sham.a-e-aivaan-e-KHudaa hai.n chaar-dah ma.asuum-e-paak
jin se un chaudah tabaq ko raushan aur ujlaa kiyaa
zaahidaa un me.n na kyuu.n ho jalva-e-nuur-e-KHudaa
KHud-numaa.ii ke liye us ne unhe.n paidaa kiyaa
siina-kuubii dil-KHaraashii girya-o-aah-o-fuGaa.n
ham ne ishq-e-panjtan me.n dekhnaa kyaa kyaa kiyaa
chaar yaar-e-baa-safaa haq kii kitaabe.n chaar hai.n
aap jin ko munshii-e-taqdiir ne inshaa kiyaa
ya.anii buu-bakar-o-umar usmaan-o-haidar bil-yaqii.n
jin ko chaar arkaan-e-diin-e-paak hai maulaa kiyaa
suurat-e-arba.a-anaasir thaa baham chaaro.n me.n rabt
rub-e-maskuu.n me.n unho.nne diin ko ehyaa kiyaa
panj a.ngusht-e-yadullaah hai.n janaab-e-panjtan
vasf un kaa kaatib-e-qudrat ne jo imlaa kiyaa
safha-e-qirtaas nuur-afshaa.n yad-e-baizaa banaa
yak-qalam KHaame ko a.ngusht-e-yad-e-baizaa kiyaa
zeb-e-diivaa.n kyuu.n na ho har bait is kii ai 'nasiir'
is Gazal ko shaan-e-ahl-e-bait me.n inshaa kiyaa

- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 145)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.