Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ho jaate hai.n KHud raste hamvaar madiine ke

Pir Naseeruddin Naseer

MORE BYPir Naseeruddin Naseer

    ho jaate hai.n KHud raste hamvaar madiine ke

    bulvaate hai.n jab shaah-e-abraar madiine ke

    kyuu.n kar na falak ko bhii is shahar pe rashk aa.e

    baste hai.n madiine me.n muKHtaar madiine ke

    aa.nkho.n ko 'ataa hogaa surma-e-biinaa.ii

    baKHshe.nge jilaa dil ko anvaar madiine ke

    barso.n kii 'ibaadat kaa haasil hai har ik lamha

    sau saal pe bhaarii hai.n din chaar madiine ke

    us daur-e-muqaddas kii yaado.n ke tasavvur me.n

    dekhe.nge zaraa chal kar baazaar madiine ke

    ai baKHt-e-rasaa KHush ho baKHshish kii gha.Dii aa.ii

    vo dekh nazar aa.e miinaar madiine ke

    behtar hai kisii gul se kaa.nTaa rah-e-taiba kaa

    jannat se hasii.n-tar hai.n gulzaar madiine ke

    apno.n kaa muqaddar hai irfaan kii ye daulat

    Gairo.n pe nahii.n khulte asraar madiine ke

    tum laakh miTaa Daalo dhartii se inhe.n lekin

    mahfuuz hai.n zehno.n me.n aasaar madiine ke

    aaqaa kii sanaa.on me.n kaT jaa.e safar achchhaa

    mil jaa.e.n agar saathii do-chaar madiine ke

    ai dev-e-havas mujh par kyaa zor chale teraa

    rahte hai.n mire dil me.n dildaar madiine ke

    phir us ko nahii.n rahtii hasrat kisii manzar kii

    ho jaa.e.n jise haasil diidaar madiine ke

    hai turfa-mizaaj in kaa diidaar 'ilaaj in kaa

    ’iisaa se na achchhe ho.n biimaar madiine ke

    ye aab-e-najis uThvaa ye jaam-o-subuu le jaa

    piite hai.n madiine kii mai-KHvaar madiine ke

    is aas pe baiThaa huu.n muddat se 'nasiir' ab tak

    shaayad kabhii bulvaa le.n sarkaar madiine ke

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 1178)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now