Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

haq se milne aap kaa me.araaj jaanaa yaad hai

Hunar Sillodi

Interesting Fact

موسیٰ آزاد قوال کی آواز میں فلمی طرز پر لکھی ہوئی مقبولِ عام قوالی۔

haq se milne aap kaa me.araaj jaanaa yaad hai

jaa ke pal me.n arsh se vo lauT aanaa yaad hai

chuum kar talvaa tumhaaraa yaa mohammad nii.nd se

baa-adab jibriil kaa tum ko jagaanaa yaad hai

miim ke parde ke andar KHaaliq-e-kaunain kaa

sarvar-e-dii.n aap ko jalva dikhaanaa yaad hai

har qadam par ’arsh ne naa’lain ke bose liye

’arsh ko vo raat vo manzar suhaanaa yaad hai

marhabaa maa.n baap ko marzii pe rab kii chho.D kar

ummat-e-‘aasii ko haq se bakHshvaanaa yaad hai

chaa.nd ke do Tuk.De karke jo.D kar dikhlaa diye

pattharo.n ko aan me.n kalima pa.Dhaanaa yaad hai

hazrat-e-hassaan-bin-saabit kaa aksar jhuum kar

ai 'hunar' sarkaar kaa na.ate.n sunaanaa yaad hai

Source :
  • Book : Moosa Azad Qawwal, Part 1 (Pg. 12)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now