jhuum rahaa hai chishtii gulshan ra.ng-e-fariidii chhaa.e hai.n

Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
Interesting Fact
منقبت در شان گنجِ شکر بابا فریدالدین مسعود (پاک پتن-پنجاب)
jhuum rahaa hai chishtii gulshan ra.ng-e-fariidii chhaa.e hai.n
shaah-e-madiina ga.nj-e-shakar ko duulhaa banaane aa.e hai.n
aa.o faqiiro jholiyaa.n bhar lo saamne hai darbaar-e-karam
KHvaaja piyaa jii ga.nj-e-shakar kaa sadqa luTaane aa.e hai.n
sanjar ho yaa kaliyar baabaa dehlii ho yaa paakpatan
ham ne jahaa.n bhii haath pasaaraa tere sadqe paa.e hai.n
ham kyaa jaane dair-o-haram ko ham Thahre diivaane log
ham to baabaa is chaukhaT par sajde luTaane aa.e hai.n
us kii jholii bhar jaatii hai jo bhii daaman phailaa.e
KHvaaja qutub ke laal ne dekho kaise faiz luTaa.e hai.n
ham par bhii yaa dilbar-e-kHvaaja ho jaa.e ke kii nazar
tere karam ne mohtaajo.n ke so.e bhaag jagaa.e hai.n
kyuu.n na 'fanaa' qurbaan ho tum par tuu KHvaaja kii nisbat hai
ga.nj-e-shakar har jaanib tuu ne chishtii ra.ng rachaa.e hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.