aap kaunain kii hai.n jaan rasuul-e-’arabii

do-jahaa.n aap pe qurbaan rasuul-e-’arabii
aap bhuule na kabhii ham se gunahgaaro.n ko
yaad hai.n aap ke ehsaan rasuul-e-’arabii
jab kabhii yaad kyaa tum ko ta.Dapte dil se
mushkile.n ho ga.ii.n aasaan rasuul-e-’arabii
aap ke sadqe me.n amvaaj-e-havaadis kii qasam
saik.Do.n Tal ga.e tuufaan rasuul-e-’arabii
aap ke bande ko aur daGdaga-e-mahshar ho
mere dushman ho.n pareshaan rasuul-e-’arabii
shukr kis mu.nh se adaa ho ki hamaare dil me.n
aap kaa dard hai mehmaan rasuul-e-arabii
ruuh kartii hai mirii aap ke rauze kaa tavaaf
jaa.n hai sau jaan se qurbaan rasuul-e-’arabii
yaad taiba kii kaleje se lagii rahtii hai
zindagii kaa hai ye saamaan rasuul-e-’arabii
bi-abii anta-o-ammii kabhii ik chashm-e-karam
'aam hai aap kaa faizaan rasuul-e-’arabii
zindagii us kii hai maut us kii hai bujhe us kaa
ho gayaa tum pe jo qurbaan rasuul-e-’arabii
aap se rabt-e-mohabbat me.n 'ajab lazzat hai
taaza ho jaataa hai iimaan rasuul-e-'arabii
aap ke paa.e mubaarak ho.n sar 'kaamil' ho
marne vaale kaa hai armaan rasuul-e-'arabii

- Book : Waardaat-e-Kamil (Pg. 166)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.