samjhe.n maqaam-e-ahl-e-nazar Gaus-e-paak kaa
Interesting Fact
منقبت درشان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد۔عراق)
samjhe.n maqaam-e-ahl-e-nazar Gaus-e-paak kaa
takte hai.n mu.nh qazaa-o-qadr Gaus-e-paak kaa
allaah re nufuuz-o-asar Gaus-e-paak kaa
sab kuchh idhar hai ruKH hai jidhar Gaus-e-paak kaa
shaaho.n ke sar bhii jhukte hai.n us kii huzuur me.n
jaataa hai ik Gulaam jidhar Gaus-e-paak kaa
kitne dilo.n me.n ghar vo banaatii hai kyaa kahuu.n
vo dil ki jis me.n ho gayaa ghar Gaus-e-paak kaa
jo kuchh Gulaam kaa hai vo aaqaa kii mulak hai
dil Gaus-e-paak kaa hai jigar Gaus-e-paak kaa
apnii to hai bas un kii inaayat pe zindagii
kyaa kyaa karam hai shaam-o-sahar Gaus-e-paak kaa
allaah ek aisii nazar chaahtaa huu.n me.n
aa.nKHe.n huu.n merii zauq-e-nazar Gaus-e-paak kaa
hotii hai jis ko hotii hai nisbat huzuur se
khultaa hai jis pe khultaa hai dar Gaus-e-paak kaa
sab kuchh hai mere vaaste 'kaamil' KHudaa gavaah
bas ik zaraa karam hai agar Gaus-e-paak kaa

- Book : Wardat-e-Kamil (Pg. 14)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.