salaam un par jo chamke dahr me.n badruddujaa ban kar

salaam un par jo aa.e masdar 'ilm-o-hayaa ban kar
salaam un par jinho.n ne KHalq kii haajat-ravaa.ii kii
salaam un par jinho.n ne dushmano.n se bhii bhalaa.ii kii
salaam un par ki jin ke nuur se raushan hu.aa 'aalam
salaam un par ki jo the be-kas-o-mazluum ke hamdam
salaam un par jo fakHr-e-ambiyaa hai.n nuur-e-vahdat hai.n
salaam un par ki jo dono.n jahaa.n kii shaan-o-'azmat hai.n
salaam un par jahaa.n me.n jo payaam-e-amn laa.e the
salaam un par jo raahat aur rahmat ban ke aa.e the
salaam un par jo be-kas be-navaa.o.n kaa sahaaraa hai.n
salaam un par yatiimo.n aur Gulaamo.n kaa jo yaaraa hai.n
salaam un par mohabbat dahr me.n paiGaam thaa jin kaa
Gulaamo.n be-kaso.n kii dast-giirii kaam thaa jin kaa
salaam un par jo aa.e rahamtul-lil-'aalamii.n ban kar
thaa avval nuur jin kaa aa.e KHatm-ul-mursaliin ban kar
salaam un par miraa be-taab jo aaqaa-e-'aalam hai.n
amii-ul-ambiytaa fakHr-e-rusul hai.n husn-e-aadam hai.n

- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.III (Pg. 81)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.