husn-e-aKHlaaq payambar kaa saraapaa likkhuu.n

Khwaja Shayan Hasan
MORE BYKhwaja Shayan Hasan
husn-e-aKHlaaq payambar kaa saraapaa likkhuu.n
yaa'nii qur.aan muqaddas ko mai.n puuraa likkhuu.n
husn-e-be-misl likhuu.n 'ilm kaa dariyaa likkhuu.n
aap ko shaah-e-zaman shaah-e-madiina likkhuu.n
naam-e-ahmad ko har ik naam se afzal likkhuu.n
zaat-e-mursal ko farishto.n se bhii aa'laa likkhuu.n
un kii baato.n se uKHuvvat kaa sabaq miltaa hai
un ke ausaaf ko ausaaf-e-hamiida likkhuu.n
sab bhikaarii hai.n tire dar ke tuu shaahaa sab kaa
sab Gulaamo.n kaa huzuur aap ko aaqaa likkhuu.n
shaan-e-aqdas me.n jo likkhaa hai zamaane bhar ne
likhne vaalo.n ke har ik lafz se uu.nchaa likkhuu.n
silsila KHatm hu.aa aap pe nabiyo.n vaalaa
aap ko KHatm-e-nubuvvat kaa vasiila likkhuu.n
pahle bhejuu.n mai.n duruudo.n kaa vaziifa un par
shaan me.n aap kii phir naa't kaa misra.a likkhuu.n
manzil-e-raah-e-hidaayat kii mai.n sham' likkhuu.n
shaan me.n aap kii 'shaayaan' mai.n kyaa kyaa likkhuu.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.