Gaflat kaa ham shikaar hai.n sarkaar-e-do-jahaa.n

Khwaja Shayan Hasan
MORE BYKhwaja Shayan Hasan
Gaflat kaa ham shikaar hai.n sarkaar-e-do-jahaa.n
aasii hai.n gunaahgaar hai.n sarkaar-e-do-jahaa.n
kis mu.nh se chal ke aa.e.nge mahshar me.n ruu-ba-ruu
naadim hai.n sharmsaar hai.n sarkaar-e-do-jahaa.n
KHaamosh hai zabaa.n magar ehsaas-e-ranj-o-Gam
aa.nkho.n se aashkaar hai.n sarkaar-e-do-jahaa.n
sadqa ataa karo hame.n zahraa ke laal kaa
Gam dil me.n be-shumaar hai.n sarkaar-e-do-jahaa.n
fariyaad ko suno alii asGar ke vaaste
ham log ashk-baar hai.n sarkaar-e-do-jahaa.n
nazr-e-karam se apnii inhe.n saaf kiijiye
daaman jo daaG-daar hai.n sarkaar-e-do-jahaa.n
'shaayaan' ko bhii rauze kaa diidaar ho nasiib
armaan be-qaraar hai.n sarkaar-e-do-jahaa.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.