kyaa vaqt mubaarak hotaa hai kyaa KHuub vo saa.at hotii hai

jab zikr-e-ilaahii hotaa hai jab na.at-e-risaalat hotii hai
yaa.n farsh-e-zamii.n par mahfil me.n us nuur kii azmat hotii hai
vaa.n arsh-e-barii.n par malaa.ek me.n maddaaho.n kii mid.hat hotii hai
iimaan bhii taaza hotaa hai dil ko bhii masarrat hotii hai
sab ne.amate.n haasil hotii hai.n jab dil me.n mohabbat hotii hai
thaa nuur-e-ilaahii saaf ayaa.n ibliis magar munkir hii rahaa
ausaaf nazar aate hii nahii.n jab dil me.n kuduurat hotii hai
buu-jahl kahe tum sab se bure siddiiq kahe tum sab se bhale
aa.iina me.n hotii hai ayaa.n jis tarah kii suurat hotii hai
us husn-e-tasavvur ke qurbaa.n us faiz-e-mohabbat ke sadqe
har-dam hai vo rauza aa.nkho.n me.n har-vaqt ziyaarat hotii hai
ho ko.ii sahaabii yaa ki valii sab me.n hai 'umar' KHushbuu-e-nabii
khiltii hai jo is gulshan me.n kalii sab me.n vo nik.hat hotii hai

- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 178)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.