madiina ke jis shaam-o-sahar kii baat karte hai.n

ba-alfaaz-e-digar KHuld-e-nazar kii baat karte hai.n
sitaaro.n kii na ham husn-e-qamar kii baat karte hai.n
jamaal-e-hazrat-e-KHairulbashar kii baat karte hai.n
mubaarak zikr-e-jannat aap ko ai hazrat-e-vaa.is
ham apne jazb-e-dil zauq-e-nazar kii baat karte hai.n
muqaabil ruu-e-KHatamul-mursalii.n ke chaa.nd kyaa shai hai
vo diivaane hai.n jo shams-o-qamar kii baat karte hai.n
kahaa hai jis ko rabbul-aalamii.n ne rahmat-e-aalam
ham us mushkil-kushaa us chaara-gar kii baat karte hai.n
nazar me.n hai jamaal-e-gumbad-e-KHazraa kii ra.anaa.ii
falak rif.at nabii ke paak dar kii baat karte hai.n
vo jis kii zaat aalii naazish-e-kaunain hai 'qaisar'
usii faKHrul-rusul KHairul-bashar kii baat karte hai.n

- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 182)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.