KHaaliq ne suurat apnii se ye zuhuur diyaa hai mohammad ko

Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
KHaaliq ne suurat apnii se ye zuhuur diyaa hai mohammad ko
aapii vo ahad aapaa.n mev hai naam liyaa hai mohammad ko
jo is asraar ko buujhaa hai bas us ko sab kuchh suujhaa hai
yahaa.n par nahii.n ko.ii duujaa hai aapii aap kiyaa hai mohammad ko
jis ko nasha hai vahdat kaa us ko kyaa Dar hai mahshar kaa
jo mast-e-alast ke hai.n siine bas 'ilm diyaa hai mohammad ko
hai shaa.n me.n kis ke innaa fatamannaa laa-fataa kis kii shaan me.n hai
lahmak lahmii jismuka jismii se jaan liyaa hai mohammad ko
darashan apne me.n paayaa hai murshid-e-bar-haq kaa saaya hai
'KHaadim' safii kii kirpaa se pahchaan liyaa hai mohammad ko

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.