e.ajaaz numaayaa.n hai aa.iina qudrat kaa

a.alam nazar aataa hai kasrat me.n bhii vahdat kaa
ma.amuur hai hikmat se har kaam risaalat kaa
kyaa bhed hai fitrat kaa kyaa raaz hai qudrat kaa
kyaa aql ko insaa.n kii ho daKHl mashiyyat me.n
KHilqat hai mohammad kii ik raaz haqiiqat kaa
parde me.n tajallii ke jo tuur pe chamkaa thaa
vo nuur-e-haqiiqat me.n thaa nuur risaalat kaa
aa.nkho.n ko basaarat dii kaano.n ko samaa.at dii
kyuu.nkar na zamaana ho qaa.il tirii qudrat kaa
'mas.uud' pe ho jaa.e yaarab nazar-e-rahmat
mohtaaj-e-tarahhum hai taalib hai inaayat kaa

- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 285)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.