mohammad mustafaa kaa jaa-nashii.n siddiiq-e-akbar hai

Maulana Abdul Qadeer Hasrat
MORE BYMaulana Abdul Qadeer Hasrat
Interesting Fact
مناقب در شان حضرت امیرالمؤمنین ابو بکر صدیق (مدینہ-سعودی عرب)
mohammad mustafaa kaa jaa-nashii.n siddiiq-e-akbar hai
ba-juz paiGambaro.n ke sab se a'alaa sab se bartar hai
zakaat-e-maal baa'd-e-mustafaa siddiiq ko denaa
ishaara hai KHilaafat kaa ye zaahir balki azhar hai
pa.Dii buniyaad masjid kii rakhaa baa’d-e-nabii patthar
abuu-bakr-o-'omer 'usmaan ne ye fazl-e-daavar hai
imaam-ul-muslimii.n aur peshvaa-e-mard-o-zan siddiiq
imaamat aur kii baatil jahaa.n siddiiq-e-akbar hai
KHudaa ne shaan me.n siddiiq kii atqaa hai farmaayaa
vo atqaa hai vo ’indallaahi-akram aur behtar hai
mohammad mustafaa par jab vah.i aatii to sunte the
ye kitnaa martaba siddiiq kaa a'alaa hai bartar hai
agar iimaan-e-siddiiq aur iimaan-e-jahaa.n tole.n
to Gaalib sab pe ho siddiiq kaa iimaa.n ki akbar hai
'umar kii nekiyaa.n itnii hai.n jitne charKH par anjum
'umar siddiiq kii nekii hai ye farmaan-e-sarvar hai
nahii.n pii may kabhii siddiiq ne islaam se pahle
ye kaisii fitrat-e-a'alaa hai aur tab’-e-mutahhar hai
zamii.n par ek murda be-iraada chaltaa phirtaa hai
ye vaj.h-e-ism-e-'abdullaah hai aur sirr-e-muzmar hai
uThaayaa sidaq ne baar-e-nubuvvat apnii magar daan par
vahii to saanii-e-isnain aur hamraah payambar hai
kisii ne gar kiyaa ehsaan mai.n ne kar diyaa badla
jazaa siddiiq ko degaa KHudaa jo sab se bartar hai
nabii daamaad-e-vaalaa-shaan hai.n siddiiq-e-akbar ke
visaal-e-'ishq-e-siddiiqii kaa is me.n raaz muzmar hai
uhud me.n badr me.n ahzaab me.n aur ja.ng-e-taa.ef me.n
hudaibiaa me.n har mautan me.n hamraah-e-payambar hai
tariiq qaadrii aur naqshbandii aur ‘shattaarii’
madaarii kaa bhii a'alaa rahnumaa hai aur rahbar hai
nabii ke baa'd ghul ghul ke hu.e siddiiq bhii raahii
ye 'ishq-e-jaa.n-sitaa.n hai sab se a'alaa sab se bartar hai
pas-e-murdan milii hii jaa.e aaGosh-e-mohammad me.n
banaa us KHaak se jis KHaak se jism-e-payambar hai
agar munkir ho ko.ii fazl se siddiiq-e-akbar ke
mai.n hadd-e-muftarii maaru.ngaa ye farmaan-e-haidar hai
'alii-e-murtazaa ke qaul par hasrat kaa hai iimaa.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.