Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mere piir shahbaaz mohammad sab kii aa.nkho.n ke taare

Ishtiyaque Alam Shahbazi

MORE BYIshtiyaque Alam Shahbazi

    Interesting Fact

    منقبت در شان حضرت شہباز محمد (بھاگل پور-بہار)

    Duubtii kashtii aap tairaa.en be.Daa paar lagaa.e.n

    jis ko chaahe.n valii banaa.e.n KHudaa ke bhed bataa.e.n

    'ilm-e-nabii kaa aap hai.n suuraj pot hai.n chaa.nd sitaare

    mere piir shahbaaz mohammad sab kii aa.nkho.n ke taare

    valii ke jaanii 'alii ke dilbar nabii ke raaj-dulaare

    naam rasuul-e-paak ne rakhaa maulaanaa shahbaaz valii

    kHurma khilaa.e.n faiz-o-karam ke tiin maraatib maulaa 'alii

    nabii ne dii a.ngusht-e-sharii’at saaTh hadiis ke paare

    devra-nagar me.n chaa.nd ugaa.o haajii KHair badhaa.ii

    vaaran do KHitaab mohammad kaisii daulat paa.ii

    gyaarah sadii kaa aayaa mujaddid 'ilm ke phuuTe dhaare

    kaisaa husainii phuul khilaa hai mahke aa.ngan saaraa

    ’ambar dhartii naache KHushii se jhuume galii chaubaaraa

    panjatanii KHushbuu ke fidaa.ii jo hii belaa hazaare

    Source :
    • Book : Jalwa-e-Gul Lafz-ba-Lafz
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now