Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

huu.n tire dar kaa bhikaarii tiraa ma.ngtaa KHvaaja

Mujeebul Hasan Nawwabi

MORE BYMujeebul Hasan Nawwabi

    Interesting Fact

    منقبت درشان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر۔راجستھان)

    huu.n tire dar kaa bhikaarii tiraa ma.ngtaa KHvaaja

    ho ataa mujh ko bhii hasnain kaa sadqa KHvaaja

    ek muddat se ujaale nahii.n aa.e mujh tak

    khol de merii taraf apnaa dariicha KHvaaja

    ghar se niklaa huu.n mai.n ajmer kii jaanib ruKH hai

    teraa dar chuum luu.n bas ye hai tamannaa KHvaaja

    raushnii taa-ki mujhe chho.D ke jaa.e na kabhii

    mere siine pe banaa naqsh-e-kaf-e-paa KHvaaja

    manzil-e-qabr ho yaa hashr ho yaa duniyaa ho

    mujh ko tanhaa na kahii.n chho.Degaa meraa KHvaaja

    yaad aane lagii.n taiba kii bahaare.n mujh ko

    teraa kuucha to lage baab-e-madiina KHvaaja

    hai mere dil kii tamannaa mirii chaahat kaa gulaab

    markaz-e-ahl-e-nazar hind kaa raajaa KHvaaja

    tere ikraam ke saa.e me.n hii rahtaa huu.n magar

    chaahiye teraa karam aur ziyaada KHvaaja

    ek diivaana tiraa hai jise kahte hai.n 'mujiib'

    aur kuchh kahtaa nahii.n raT.taa hai KHvaaja KHvaaja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now