Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sun ai rii sakhii chal raaz galii yasrib kaa basayyaa aayaa hai

Naseer Niazi

MORE BYNaseer Niazi

    sun ai rii sakhii chal raaz galii yasrib kaa basayyaa aayaa hai

    nagrii-nagrii ek dhuum machii yasrib kaa basayyaa aayaa hai

    har suu hai qutub abdaal kha.De kahte hai ye sab chupke-chupke

    chaliya ne kaisii chaal chalii yasrib kaa basiyaa aayaa hai

    maKHmuur hu.aa maddham-maddham kyaa jhuum ke uTThaa abr-e-karam

    har chaar taraf rahmat barsii yasrib ke basayyaa aayaa hai

    kaliyaa.n ha.ns ha.ns kar khilne lagii.n shaaKHo.n se shaaKHe.n milne lagii.n

    phuulo.n se chaman ne maa.ng bharii yasrib kaa basayyaa aayaa hai

    tuufaan-e-mohabbat josh me.n hai diivaana 'nasiir' ab hosh me.n hai

    'ushshaaq kii big.Dii baat banii yasrib kaa basayyaa aayaa he

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now