qaafile chaa.nd sitaaro.n ke udhar jaate hai.n
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت نواب علی شاہ حسنی جہاں گیری (فتح پور۔اترا پردیش)
qaafile chaa.nd sitaaro.n ke udhar jaate hai.n
jis taraf se shah-e-navvaab guzar jaate hai.n
jab KHayaal-e-shah-e-navvaab dar-e-dil ko chhu.e
ishq-o-mastii ke hasii.n ra.ng bikhar jaate hai.n
is taraf se jo guzarte hai.n sabaa ke jho.nke
zikr sun.ne ko tiraa vo bhii Thahar jaate hai.n
un ke darbaar me.n fariyaad to kar ke dekho
pal me.n big.De hu.e haalaat sa.nvar jaate hai.n
chho.D kar terii i.naayaat-o-karam kaa saaya
kaise naadaan hai.n jo suu-e-shajar jaate hai.n
dar-e-navvaab pe ham hii nahii.n jaate hai.n faqat
raushnii maa.ngne KHurshiid-o-qamar jaate hai.n
aisii vaisii nahii.n navvaab miyaa.n kii chaukhaT
ahl-e-dil ahl-e-nazar ahl-e-hunar jaate hai.n
munfarid karataa hai ye vasf unhe.n auro.n se
sa.ng-paaro.n ko bhii vo aa.iina kar jaate hai.n
ham sar-e-shaam tire naam kaa karte hu.e vird
terii yaado.n ke samundar me.n utar jaate hai.n
vaadii-e-KHvaab me.n gul-gasht ko jab aataa hai tuu
chashm-kaase tire diidaar se bhar jaate hai.n
haadse aate to hai.n mujh ko haraasaa.n karne
tere saa.e me.n mujhe dekh ke Dar jaate hai.n
tere diivaane tiraa ek ishaaraa paa kar
raah kaisii bhii ho be-KHauf guzar jaate hai.n
merii bastii se guzarte hu.e mausam ai 'nuur'
bhiik lene shah-e-navvaab ke ghar jaate hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.