qadmo.n ko rakhnaa arz-e-haram me.n hisaab se

iz.haar-e-'ishq aise ho hazrat ma.aab se
naadaan dekh le mere aaqaa kaa mo'jiza
kaafuur dard ho gayaa un ke lu’aab se
aadaab-e-'ishq sarvar-e-'aalam ne ye kahaa
naa't-e-rasuul siikhiye rab kii kitaab se
KHuld-e-barii.n vo jaa.egaa kaise na dosto
nisbat hai jis kisii ko risaalat ma.aab se
us maulvii se kah do qayaamat qariib hai
daa.Dhii syaah karataa hai jo bhii KHizaab se
'amabar' rah-e-najaat hai usva huzuur kaa
miltaa hai daras ham ko muqaddas kitaab se

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.