Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ta.Dap uThtaa hai dil lafzo.n me.n dohraa.ii nahii.n jaatii

Pir Naseeruddin Naseer

Interesting Fact

مناقب در شان حضرت امام حسین (کربلا-عراق)

ta.Dap uThtaa hai dil lafzo.n me.n dohraa.ii nahii.n jaatii

zabaa.n par karbalaa kii daastaa.n laa.ii nahii.n jaatii

husain ibn-e-’alii ke Gam me.n huu.n duniyaa se begaana

hujuum-e-KHalq me.n bhii merii tanhaa.ii nahii.n jaatii

udaasii chhaa rahii hai ruuh par shaam-e-Gariibaa.n kii

tabii'at hai ki bahlaane se bahlaa.ii nahii.n jaatii

jatan har daur me.n kyaa kyaa na ahl-e-shar ne kar dekhe

magar zahraa ke pyaaro.n kii paziiraa.ii nahii.n jaatii

daliil us se ho ba.Dh kar kyaa shahiido.n kii tahaarat par

ki mayyat dafn kii jaatii hai nahlaa.ii nahii.n jaatii

kahaa shabbiir ne 'abbaas tum mujh ko sahaaraa do

javaa.n beTe kii mayyat mujh se dafnaa.ii nahii.n jaatii

husainiyat ko paanaa hai to Takkar le yaziido.n se

ye vo manzil hai jo lafzo.n me.n samjhaa.ii nahii.n jaatii

ko.ii bhii duur ho to hii imaam-e-Gam Thahartaa hai

Gam-e-shabbiir terii shaan-e-yaktaa.ii nahii.n jaatii

'nasiir' aaKHir 'adaavat ke bhii kuchh aadaab hote hai.n

kisii biimaar ko zanjiir pahu.nchaa.ii nahii.n jaatii

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Syed Zabib Masood

Syed Zabib Masood

Pir Naseeruddin Naseer

Pir Naseeruddin Naseer

Source :

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now